How_To_Remove Pimples_At home In_Hindi |
Aaj ka humara article pimples kya hain, face par pimples kyu hote hain, how to remove pimples in hindi, pimples ka ilaj in hindi, pimple ke upay in hindi, face se pimple kaise hataye in hindi, pimple treatment in hindi for boy, how to remove pimples in hindi for man, how to remove pimples from face naturally in one day at home in hindi par hai. Kripya is article ko poora end tak zaroor padhen.
Hello friends mysmartways blog me aapka swagat hai. To aaiye jaante hain pimples ke reasons aur solutions ke baare me.
Pimples
Pimples(muhanse) ki samasya se ziyadatar teenagers ko guzarna padta hai.Aksar yuvavastha me kadam rakhte hi yuvak aur yuvtiyon ke chehre par pimples nikal aate hain.Yeh ek tarah ki normal problem hai. Jisse sabhi ko yuvavastha ke dino me guzarna padta hai. Lekin yadi yeh samasya lambe samay ke liye bani rahe to phir yeh gambhir samasya bhi ban jati hai.
Face Par Pimples Kyu Hote Hain in Hindi
- Pimples jawani ke shuruaati dino me aksar chehre par nikalte hain. Kyun ki us age me harmones me tezi se badlao hone ke karan pimples nikal aana aam baat hoti hai. Isliye harmones me badlao hone ke karan bhi pimples hone lagte hain.
- Pimples hone ki ek badi vajah khaan-paan bhi ho sakta hai. Aksar bahar ki tali bhuni, chatpati aur masaledaar cheeze khane se skin oily hone lagti hai. Skin se ziyada oil nikalna bhi pimples ke hone ka karan ban jata hai.
- Skin ki saaf safai na rakh pana bhi pimples hone ki badi vajah ban sakta hai. Ghar se bahar jane par dhool, pollution ki vajah se skin me gandgi jam jati hai aur uski theek se safai na hone par pimples nikalne shuru ho jate hain.
- Ziyada samay tak dhoop me rehne se bhi pimples ki samasya ho sakti hai. Kyun ki suraj ki kirane(sun rays) skin par seedha asar daalti hain. Jisse chehre par daag-dhabbe aur pimples nikalne lagte hain.
- Ziyada coffee, tea ka sevan karne se bhi pimples ki samasya ban sakti hai. Ziyada coffee peene se sebum aur ziyada tea peene se acidity ki problem hone lagti hai.
- Smoking bhi iski ek badi vajah ban sakti hai. Cigrate, tobacoo ka sevan karna aur drink vgairah karne se bhi skin ko kafi nuksaan pahunch sakta hai. Jiski vajah se face par daag-dhabbe aur pimples hone lagte hain.
- Bleach aur scrub ka ziyada istemaal karne se skin ka natural oil khatam hone lagta hai aur skin dry hone lagti hai. Jiski vajah se pimples hone lagte hain.
- Chehre ko soap ya facewash se baar-baar dhone se bhi pimples ki samasya hone lagti hai. Kyun ki chehra ziyada dhone se skin dry hone lagti hai.
- Skin ka ziyada oily hona bhi pimples nikal aane ki ek badi vajah mana jata hai. Oily skin walon ko yeh samasya aksar bani rehti hai.
Also Read: Sensitive Skin Problems
How_To_Remove Pimples_At home In_Hindi |
How To Remove Pimples At Home in Hindi
- Skin ko pollution se bacha kar rakkhe aur face par dhool, mitti ko jamne na den.
- Din me 2 baar chehre ko achchhi tarah wash karen, chehre ko thapthapa kar hi ponchhe.
- Face par oil na jamne den. Neembu ke ras se chehre ki chiknai ko saaf karen.
- Aesi skin par makeup ka kam se kam istemaal karen. Agar makeup karen bhi to sone se pehle makeup ko achchhi tarah se saaf kar len.
- Pet ki kharabi ki vajah se bhi chehre par pimples nikal aate hain. Isliye ziyada pani piyen aur fruits ka istemaal karen. jisse pet saaf rahe.
- Ziyada tala-bhuna bhojan na len. Khane me protein, vegetables, fruits aur daalon ka ziyada istemaal karen.
- Pimples hone par unhe kabhi bhi dabane, nochne ya phodne ki koshish na karen. Aesa karne se skin par gadde, nishan padne lagte hain. Jisse chehra kharab dikhne lagta hai.
- Pimples hone par chehre par multani-mitti ka istemaal karne se pimples jaldi theek hone lagte hain.
- Ek chammach shahad(honey) me salfur ke phool mila kar lagane se pimples theek hone lagte hain.
- Laung(लौंग) aur jayfal(जायफल) pees kar pimples par lagayen aur 20 minute baad saaf paani se dho len. Isse pimples jaldi theek hone lagte hain.
- Neem aur tulsi ki pattiyon ko pees len. Ab isme thoda besan aur gulab-jal mila kar pest bana len. Is pest ko chehre par 30 minute tak laga rehne den aur phir saaf paani se dho len. Isko rozana lagate rehne se keel-muhanse vagairah jaldi theek hone lagte hain.
- Sir me dandruff(रूसी) na hone den. Agar dandruff hai to pehle use door karen aur sir ko bhi saaf rakkhen. Kyun ki sir me gandgi, dandruff ki vajah se bhi pimples nikalne lagte hain.
- Week me 1 baar chehre ko steam(गर्म पानी की à¤ांप) zaroor karen. Aesa karne se skin ke pores(रोमछिद्र) saaf rehte hain aur gandgi vagairah saaf ho jati hai.
Pimples Ka Ilaj In Hindi-Pimple Ke Upay In Hindi
Yahan pimples ke kuchh kaargar gharelu nuskhe bataye gaye hain. Jinhe pimples ke ilaj aur pimple ke upay ke roop me istemaal kiya ja sakta hai.
1. Haldi
Haldi skin ke liye bahot hi achchhi maani jati hai. Ek chammach haldi me thoda doodh aur gulaab-jal ko achchhi tarah mila kar pest bana len. Ab isko pimples wale hisse par lagayen aur sookhne ke baad saaf paani se dho len. Isse pimples theek hone lagenge.
Pimples_Ka Ilaj_in_Hindi-Pimple_Ke Upay_in_Hindi |
2. Neembu
Neembu ke ras me thoda namak aur shehad(honey) ko achchhi tarah mila len. Ab usko pimples wali jagah par laga len aur 20 minute baad gungune paani se dho len. Yeh mixture bhi pimples ke liye laabhkari mana jata hai.
3. Tamatar
Zaroorat ke hisaab se tamatar ka ras le kar usme thoda shehad aur baking soda(yadi tamatar ka ras 2 chammach hai to 1 chammach shehad aur aadha chammach baking soda) ko achchhi tarah mila kar pest bana len. Pimples par 15 minute lage rehne ke baad taaze paani se dho len.
4. Tulsi
Ek chammach tulsi powder me ek chammach neem powder, ek chammach haldi powder aur ek chammach multani mitti ke powder ko achchhi tarah mila kar rakh len. Isme thoda paani ya gulaab-jal mila kar pest bana kar pimples par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se dho len. Aesa week me 2 baar karen.
5. Pudina
Pudine ke ras ko pimples par rozana lagate rehne se pimples jaldi theek hone lagte hain. Isko aap din me 20-30 minute pimples par laga kar saaf pani se dho len. Isme menthol paye jane ki vajah se yeh pimples ki jalan ko bhi door karta hai.
6. Kheera
Kheere ko pees kar uska pest bana len. Ab usko pimples par laga kar 30 minute baad saaf pani se dho len. Aesa rozana karne se pimples jaldi theek hone lagte hain aur pimples ke daag bhi saaf hone lagte hain.
Also Read: Dark Spot Kaise Door Karein
Face Se Pimple Kaise Hataye in Hindi
- Chehre se pomples door karne ke liye sabse pehle pet ko saaf rakhna zaroori hai. Kyun ki sari bimariyan pet ke saaf na rehne ki vajah se hi hoti hain. Isliye pet ko saaf rakkhen. Kabz(कब्ज़) na hone den. Digestion(पाचन) theek se na ho pane ki vajah se kabz ki pareshani hone lagti hai. Jisse pimples vagairah nikalne lagte hain.
- Shareer(शरीर) me pani ki kami na hone den. Rozana 8-10 glass pani peene ki aadat daal len. Kyun ki pani ki kami ho jane se skin rukhi hone lagti hai aur skin sambandhi problems jaise ke pimples, daag-dhabbe aur dry skin jaisi problems hone lagti hain. Subah uth kar sabse pehle 2 glass pani zaroor piyen.
- Rozana chehre ki saaf safai karte rahen. Bahar jate waqt sun-screen laga kar hi jayen. Bahar se ghar aane par chehre ko kisi achchhe cleanser se saaf karlen. Jisse ke skin se dhool mitti jaisi gandgi saaf ho jaye. Agar chehre par pimples hain to chehra ko halke haath se hi dhoyen. Din me 4-5 baar chehre ko saaf pani se dhoyen.
- Bhojan vagairah sahi samay se hi karen. Jisse ke khana theek se digest(पच सके) ho sake. Jahan tak ho sake bahar ka khana na khayen. Ghar ka hi khana khayen. Kyun ki bahar ka khana kafi oily hota hai. Jisse skin bhi oily hone lagti hai aur skin se ziyada oil nikalne ki vajah se bhi chehre par pimples nikalne lagte hain.
- Aloe-vera skin ke liye bahot achchha mana jata hai aur yeh pimples ko theek karne ke liye bhi bahot upyogi mana jata hai. Aloe-vera ke gel ko rozana pimples par laga kar 30 minute baad saaf pani se halke haath se dho len.
- Raat ko sone se pehle multani-mitti me gulaab-jal ko mila kar chehre par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se halke haath se dho len. Isse sone se pehle bhi chehre ki achchhi tarah se safai ho jayegi. Jisse pimples bhi kam hone lagenge.
Pimple_Treatment in_Hindi For_Boy-How_To Remove_Pimples in_Hindi For_Man |
Pimple Treatment in Hindi For Boy-How To Remove Pimples in Hindi For Man
Ladke logon ki skin thodi ruff hoti hai.Vaise to Purush log apni skin vagairah ki ziyada dekhbhal nahin karte hain.Phir bhi unko apni skin ki care karte rehna chahiye. Jisse pimples, daag-dhabbe jaisi skin problems ka saamna na karna pade.
Yahan humne purush logon ke liye 5 formule bataye hain. Jinhe apna kar ladke bhi apne chehre se kuchh dino me pimples ko door kar sakte hain.
Formula 1.
Sabse pehle to shaving kisi saloon me na ja kar khud se ghar par hi karein. Kyun ki saloon me jo towel istemaal ki jati hai, woh sabke chehre par lagaye jane ki vajah se infection ki vajah ban sakti hai. Jisse pimples jaisi problem ho sakti hai. Behtar hoga agar shaving me razor ya blade ka istemaal na kar ke trimmer ka istemaal kiya jaye.
Formula 2.
Aksar ladkon me smoking ki aadat ziyada dekhne ko milti hai. Jo face skin ke liye kafi had tak hanikarak mani jati hai. Cigrate aur tobacoo ka istemaal karne se bhi chehre par pimples aur daag-dhabbe jaisi problems ka saamna karna pad sakta hai. Isliye kisi bhi tarah ki smoking, wine aur tobacoo se khud ko bacha kar rakkhen.
Formula 3.
Apne chehre ko daily cleansing milk se saaf karte rahiye. Isse skin se oil, dhool aur mitti jaisi dirt bhi saaf hoti rahegi. Bahar jate waqt sunscreen zaroor lagayen aur raat ko sone se pehle chehre ko achchhi tarah wash kar len.
Formula 4.
Pimples par ice-cube(बर्फ़ का टुकड़ा) se halke haath se message kare. Aisa karne se pimple ki jalan bhi door ho jati hai aur uski gandgi bhi saaf ho jati hai. Jisse pimple sookhne lagta hai. Aisa din me 2 baar karne se pimples jaldi theek hone lagenge.
Formula 5.
Rozana multani-mitti ya phir chandan powder me gulaab-jal mila kar chehre par lagayen aur sookhne par halke haathon se saaf pani se dho len. Ragad(रगड़) kar na dhoyen.
Also Read: Normal Skin Ki Kaise dekhbal karein
How To Remove Pimples From Face in one Day at Home in Hindi
Kuchh aise gharelu nuskhe hain jinhe apna kar aap pimples ko 1 din me kaafi had tak kam kar sakte hain. Jo is prakaar hain-
1. Toothpaste:
Pimples par thoda sa white toothpaste le kar lagayen. Aisa raat me sote time karein aur subah uth kar saaf pani se halke hathon se face ko dho len. Aapko pimples ka size pehle se kafi kam nazar aayega.
How_To Remove_Pimples_From Face_in one_Day at_Home in_Hindi |
2. Garlic(लहसुन):
Thode lehsun ko pani ke saath achchhi tarah pees len. Ab isko pimples par laga len aur 10-15 minute baad pani se dho len. Pimples baithe huye lagenge. Agar isko lagane par kisi bhi tarah ki jalan mehsoos ho to usi waqt chehre ko pani se dho len.
3. Tea-Tree-Oil:
Tea-tree oil me 1 chammach olive oil aur jojoba oil ko achchhi tarah mix kar len. Ab chehre ko achchhi tarah saaf karne ke baad in teeno ke mixture ko pimples par lagayen aur 20 minute baad saaf pani se chehre ko dho len. Iska asar dikhayi dene lagega.
4. Baking Soda:
Jitni zaroorat ho utna baking soda ko pani ke saath achchhi tarah mila kar pest bana len. Ab isko pimples par laga len aur sookhne ke baad normal pani se chehre ko dho len. Isko lagane par jalan vagairah hone lage to turant pani se dho len.
5. Aspirin Tablet:
Aspirin ki goli ko bareek pees len aur usme thoda pani mila kar achchhi tarah pest bana len. Ab isko pimples par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se dho len. Yeh pimples ko sukhane me kafi madadgaar sabit hoti hai.
How_To Remove_Pimples_From Face_in one_Day at_Home in_Hindi |
6. Green-Tea:
Ek cup garm pani me Green-Tea aur honey ko daal kar achchhi tarah mila len. Isko daily peene se pimples nikalne ka darr kam bana rehta hai aur jo pimples pehle se hain woh bhi theek hone lagte hain.
7. Vitamin-E:
Vitamin-E ke capsule se jel ko nikaal kar pimples ke nishaan par daily lagane se nishaan kam hone lagte hain.
Note: Is article ko poora padhne ke liye shukriya. Is article me pimple ki problems ke baare me bataya gaya hai. Saare upay dhiyaan me rakh kar bataye gaye hain. Agar phir bhi aapki pimples ki samasya upar diye gaye nuskhon se theek na ho ya inse aapko kisi bhi tarah ki pareshani hone lage. To phir aapko skin specialist ko hi dikhana chahiye. kyunki ho sakta hai aapko skin allergy ki problem ho.
Dhanyavad!
Agar aapko humara yeh article helpful laga ho to humein comment kar ke zaroor batayen aur isko ziyada se ziyada share bhi karein.
No comments:
Post a Comment