How To Remove Dark Spots From Face By Home Remedies In Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Thursday, February 20, 2020

how to remove dark spots from face by home remedies in hindi
how_to remove_dark spots_from face_by home_remedies in_hindi


Aaj hum aapko dark spot in hindi meaning, black spot on skin in hindi, how to remove dark spots from face by home remedies in hindi, how to remove brown spots from face naturally in hindi, how to remove dark spots on face in 3 days, black spot on skin treatment in hindi, potato for dark spots on face in hindi, how to remove dark spots on nose in hindi, chehre par kale daag ka ilaj ke baare me batayenge.

Hello friends mysmartways blog me aapka swagat hai. Kripya is article ko poora end tak zaroor padhen.

how to remove dark spots from face by home remedies in hindi
how_to remove_dark spots_from face_by home_remedies in_hindi

Also Read: How To Remove Pimples

Dark Spot In Hindi Meaning-Black Spot On Skin In Hindi


Dark spots ya black spots yani ke gehre dhabbe. Dark spots kaale, bhurey aur laal rang ke gehre dhabbe hote hain. Jo ziyadatar chehre par hi dekhne ko milte hain. Jiski vajah se chehra kaafi bhadda dikhayi dene lagta hai. Agar inka upchaar na kiya jaye to yeh dheere-dheere aur phelne lagte hain.
Face par Dark spots ya black spots ziyada dhoop me rehne se sunburn ho jane ki vajah se aane lagte hain. Doosri vajah pani kam peene se jisse shareer me pani ki kami ho jane se bhi yeh hone lagte hain. Iske saath hi ek vajah yeh bhi ke ziyada tension lene se, chinta karne se, tobacoo, cigrate aur alcohol(शराब) ka sevan karne se bhi dark spots hone lagte hain.

How To Remove Dark Spots From Face By Home Remedies In Hindi


Kabhi-kabhi chehre par kisi bhi vajah se dark spots aa jate hain. Jiske karan chehra gora, smart hote huye bhi ajeeb sa dikhne lagta hai. Aise me kuchh gharelu upayon se bhi ghar par hi in dark spots se chhutkara paya ja sakta hai.

(1) Aloe-Vera


Aloe-vera skin ke liye har tarah se achchha mana jata hai. Aloe-vera dark spot ke liye bhi ek achook nuskha hai. Aloe-vera ke gel ko aap apne chehre ke dark spots par laga kar kuchh der tak halke haathon se maalish karein aur kuchh samay ke baad saaf pani se dho len. Aisa aap din me 2 baar karein. Jaldi hi aapko iska fayeda nazar aane lagega.

(2) Honey(शहद)


Shahad bhi chehre ki skin problems ke liye kaafi laabhkari mana jata hai. Dark spots ko door karne ke liye aap shahad(honey)ko apne chehre ke dark spots wale hisse par lagayen aur 30 minute baad gungune pani se chehre ko dho len. Kyun ki gungune pani se shahad ki chiknavat door ho jati hai. Is tarah rozana aisa karne se bhi dark spots door hone lagte hain.

(3) Steam(पानी की भांप)


Steam bhi skin ke liye ek behtar vikalp mana jata hai. Jisko aap aasani se ghar par hi kar sakte hain. Iske liye kisi bartan me pani le kar usko garm karein aur phir uski bhanp se apne chehre ko 10-15 minute tak thodi-thodi der tak steam karein. Aisa karne se chehre ki gandgi to saaf ho hi jati hai aur dark spot, blackheads jaisi problems bhi door hone lagti hai.

(4) Neebu


Neebu bhi skin ke liye bahot achchha mana jata hai. Yeh chehre ka rang to saaf karta hi hai, saath hi saath dark spots ko bhi door karne me bahot upyogi mana jata hai. Iske liye aap neebu ke ras ko apne chehre ke dark spots par 20-25 minute tak laga kar saaf pani se dho len. Aisa rozana karne se chehre se dark spots jaldi gayab hone lagte hain.

(5) Chandan


Chandan powder, gulaab-jal aur glycerin in teeno ko achchhi tarah se mila kar pest bana len. Ab is pest ko apne chehre par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se dho len. Aisa roz karne se bhi chehre se dark spots ki samasya kuchh dino me hi door ho jayegi.

Black Spot On Skin Treatment In Hindi-Chehre Par Kale Daag Ka Ilaj


Kuchh gharelu nuskhon ko apna kar bhi chehre se kale daag ya black spots ko door kiya ja sakta hai.

(1) Onion(प्याज)


Onion yani ke Piyaaz ka istemaal kar ke bhi aap apne chehre se black spots ko kuchh hi dino me door kar sakte hain. Iske liye ek chammach piyaaz ke ras me 2-3 boond shahad(शहद) ko mila kar apne chehre ke kale dhabbo par lagayen aur kuchh der baad saaf pani se dho len.

(2) Haldi


Haldi skin ke liye bahot hi achchhi mani jati hai. Ek chammach haldi me ek chammach neebu ka ras aur ek chammach shahad ko achchhi tarah se mix kar len. Ab is pest ko chehre ke daag-dhabbo par lagayen aur aadhe ghante baad chehre ko saaf pani se dho len. Aisa roz karne se chehre se kale dhabbe saaf hone lagenge.

(3) Fenugreek(मेंथी)


Menthi ke patto ko achchhi tarah pees len. Ab isko chehre ke black spots par lagayen aur aadhe ghante baad saaf pani se dho len. Is tarah se bhi aap apne chehre se kale dhabbo ko door kar sakte hain. Kyun ki menthi me magnesium(मैगनीशियम), zinc, sodium aur folic acid paye jane ki vajah se yeh skin ke liye bhi achchhi mani jati hai.

(4) Dahi


Dahi bhi chehre ki skin ke liye prayog kiya jane wala ek achchha gharelu nuskha hai. Dahi jis tarah pet ko saaf rakhta hai usi tarah yeh chehre ki skin ko bhi fresh banaye rakhta hai. Isko chehre par lagane se yeh chehre ke daag-dhabbo ko bhi door karta hai aur skin ko chamakdar bhi banata hai.

(5) Gulaab-Jal


Roohi me gulaabjal le kar chehre ko saaf kar len. Zaroorat ke hisaab se chandan powder len aur usme kachcha doodh, shahad aur gulaabjal le kar achchhi tarah se mix kar len. Ab is pest ko chehre par laga len aur 20-25 minute baad saaf pani se dho len.

how to remove dark spots from face by home remedies in hindi
how_to remove_dark spots_from face_by home_remedies in_hindi

Also Read: Sensitive Skin Care

How To Remove Brown Spots From Face Naturally In Hindi


Kuchh natural(प्राकृतिक) upayon ko apnakar chehre se brown spots ko aasani se door kiya ja sakta hai.

Tomato(टमाटर):

Tamatar ke ras aur neebu ke ras ko mila len. Ab isko chehre ke brown spots par laga len aur 20-25 minute baad taaze pani se dho len. Aisa roz karne se har tarah ke dhabbe jaise ke brown spots aur black spots jaldi door hone lagte hain.

Butter-Milk:

Butter-milk aur tamatar ke ras ka mixture bhi brown spots ko door karne me achchha nuskha mana jata hai. Yeh mixture aap is tarah se tayyar karen ke 2 chammach butter-milk me 1 chammach tamatar ka ras len. Isko aap rozana bhi laga sakte hain.

Radish(मूली):

Mooli ko bhi aap brown spots ko door karne ke liye istemaal kar sakte hain. Iske liye aap thoda mooli ka ras nikaal len aur rozana 10-15 minute tak chehre ke brown spots par lagayen. Uske baad saaf pani se dho len. Yeh tarika bhi kaargar sabit ho sakta hai.

Garlic(लहसुन):

Ek chammach lehsun ke ras aur ek chammach piyaaz ke ras ko achchhi tarah mila len. Ab isko chehre ke brown spots or black spots par 15-20 minute tak laga rehne den aur baad me saaf pani se dho len. Yeh mixture brown spots aur black spots dono me hi kaam karta hai.

Potato(आलू):

Aalu bhi is tarah ke dhabbo ke liye ek achchha vikalp sabit ho sakta hai. Aalu ke ras ko aap rozana chehre ke dhabbo par 20 minute tak laga kar taaze pani se dho len. Is tarah ke gharelu upay se bhi aapko jaldi hi har tarah ke dhabbo se chhutkara mil sakta hai.

Sandal:

Sandal ki lakdi ko pani ke saath ghis kar lep bana len. Isme thodi mehnat lagti hai. Ya phir bazaar se readymade sandal powder le len aur usko pani ke saath achchhi tarah mila kar lep bana len. Ab isko rozana chehre ke brown spots/dark spots par lagayen aur sookhne ke baad taaze pani se dho len.

How To Remove Dark Spots On Nose In Hindi


Dark spots or black spots face par sabse pehle nose par hi aate hain. Kyun ki oily skin hone par sabse ziyada nose par hi oil nikalta hai. Kuchh aasan se tarikon se isko door kiya ja sakta hai.

Orange(संतरा):

Santre ke kuchh chhilkon ko pehle dhoop me sukha len. Ab sukhe huye chhilkon ko achchhe se pees kar powder bana len. Ab 1 chammach santre ke powder me 1 chammach doodh aur aadha chammach shahad ko le kar pest bana len. Ab isko roz nose par ya dhabbo wale hisse par lagayen aur sookh jane ke baad saaf pani se dho len.

Kheera:

kheere ko mixer me achchhi tarah pees len. Ab thode mix kiye huye kheere me 1 chammach neebu aur aadha chammach aloe-vera ke gel ko achchhi tarah mila kar pest bana len. Ab is pest ko 20-25 minute tak nose ya daag wale hisse par lagayen aur baad me taaze pani se dho len.

Papaya(पपीता):

Papite ko achchhi tarah se pees len. Ab isko chehre par daag-dhabbo wale hisse par lagayen. Phir 20-25 minute ke baad saaf pani se dho len. Kuchh dino me Dhabbe saaf hone lagenge.

Almond(बादाम):

Sabse pehle badaam ko 5-6 ghanto ke liye pani me bhiga rehne den. Ab us bhige huye badaam ko pees kar pest bana len. Is pest ko rozana apne chehre ke dhabbo wale hisse par lagayen aur sukhne ke baad saaf pani se dho len.

Also Read: Normal Skin Care Tips

Potato For Dark Spots On Face In Hindi


Kya aap jaante hain ke aalu se bhi aap apne chehre ke ziddi dark spots ko aasani se door kar sakte hain. Jo ek sasta, aasan aur achchha gharelu nuskha mana jata hai. Yahan aalu ke istemaal karne ke kuchh alag-alag tarah se tarike bataye gaye hain.


  • Aalu ko pees kar pest bana len aur ab usme thoda dahi mila kar achchhe se mix kar len. Ab isko chehre ke dark spots par 25-30 minute tak laga rehne den. Baad me saaf pani se dho len.


  • Aalu ke peese huye pest me thodi haldi mila len. Ab usko chehre ke dhabbo par 30 minute tak laga rehne ke baad taaze pani se dho len.


  • Aalu ke pest me thoda neebu ka ras mila len. Ab usko chehre ke dhabbo par 20 minute tak laga rehne ke baad saaf pani se dho len.


  • 2 chammach multani mitti me 2-2 chammach aalu aur neebu ke ras ko mila kar pest bana len. Ab usko chehre ke daag dhabbo par lagayen aur 15-20 minute baad saaf pani se dho len.


  • Aalu ke ras me kuchh ande ka safed hissa mila kar achchhe se mix kar len. Ab usko chehre ke dark spots par aadhe ghante tak laga rehne den aur baad me taaze pani se dho len.


how to remove dark spots from face by home remedies in hindi|black spot on skin treatment in hindi
how_to remove_dark spots_from face_by home_remedies in_hindi


How To Remove Dark Spots On Face In 3 Days


Vaise to dark spots hatane ke bahot saare tarike bataye gaye hain. Jinko apna kar kuchh dino me aap inse chhutkara pa sakte hain. Ab hum aapko kuchh aisa kaargar upay batane ja rahe hain. Jisko lagataar karne se aap keval 3 din me hi apne chehre se dark spots kafi had tak kam kar sakte hain. Jo is prakaar hai-

1. Is nuskhe ke liye aapko 3 cheezon ki zaroorat padegi aur yeh 3 cheezen tamatar ka juice, butter milk aur wheat flour(गेहूं का आटा) hain.
2. Ek katori me 2 chammach tamatar ka juice, 4 chammach butter milk aur 2 chammach genhu ka aata len.
3. Ab in teeno ko aapas me achchhi tarah se mila kar face pack bana len.
4. Ab is pack ko apne chehre par dark spots par laga len. Isko aap poore chehre par bhi laga sakte hain.
5. Is pack ko apne chehre par 20-25 minute tak laga rehne den aur samay poora hone tak aaram karen.
6. Samay poora ho jane ke baad dono haathon me thoda pani le kar 5 minute tak chehre par halke-halke scrub karen aur phir chehre ko saaf taaze pani se dho len.
7. Ab apne chehre par koi achchha sa moisturizer lagayen. Moisturizer skin ko damage aur sunburn hone se bachata hai.
8. Aap is nuskhe ko 3-4 din tak lagataar step-by-step karen aur aapko iska achchha result dekhne ko milega.

Important Tips

Apne shareer me pani ki kami na hone den. Din me 10-12 glass pani zaroor piyen. Dhoop me rehne se bhi bachen. Sardi ke dino me bhi dhoop me humesha peeth kar ke hi baithen. Ghar se bahar jane par sunscreen lotion ya moisturizer laga kar hi niklen. Bahar se ghar aane par chehre ko achchhe se wash zaroor karen.

Also Read: Oily Skin Care Tips in Hindi

Note:
Is article me chehre se dark spots or black spots ko door karne ke bare me kuchh upyogi gharelu nuskhe bataye gaye hain. Jinka kisi bhi tarah ka koi side effect nahin hai. Phir bhi aap inme se kisi bhi nuskhe ko aazmane se pehle uska test zaroor kar len. Kisi bhi tarah ki pareshani hone par chehra usi waqt dho len.

Dhanyavad!

Aapko humara yeh article kaisa laga iska jawab hume comment box me de kar zaroor batayen aur isko share karna na bhulen.

No comments:

Post a Comment