Hair Care Tips In Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Tuesday, December 10, 2019

Hair care tips: 

Aaj hum aapko hair care tips in hindi,baalon ke liye gharelu nuskhe,home remedies for hair problems in hindi ke baare me batayenge.

Hair Care Tips In Hindi,Home Remedies For Hair Problems In Hindi
Hair_Care_Tips_In_Hindi


Mysmartways blog me aapka swagat hai.kripya is article ko end tak zaroor padhen.

Khoobsurat,sundar aur ghane baal kaun nahin chahta hai.Lekin dhool aur pollution ki vajah se humare baal kamzor aur bejaan se ho jate hain.Ya phir kisi beemari ki vajah se bhi baalon ka girna laga rehta hai.Par in girte baalon ko aap kuchh had tak rok sakte hain aur inhe sundar,ghana bana sakte hain.

Hair Care Tips In Hindi


Hair expert batate hain ki adrak(ginger) baalon ke liye bahot hi upyogi sabit hota hai.Apne medicinal qualities(औषधीय गुणों) ki vajah se adrak ka istemaal lambe samay tak ayurvedic me kiya gya hai.Isliye adrak baalon ke liye bhi bahot achchha bataya gya hai.

Hair Care Tips In Hindi,Home Remedies For Hair Problems In Hindi
Hair_Care_Tips In_Hindi


(1) Adrak baalon ko girne se rokta hai


Ek fresh adrak me magnesium,potassium,phosphorus aur bahot saare vitamins paye jate hain jo baalon ko nutrition(पोषण) pradan karte hain,mazboot banate hain aur unhe girne se rokte hain.Adrak baalon ko zaroori diet(आहार) pahunchata hai,jisse baalon ko badhne me madad milti hai.

(2) Adrak baalon ko dry hone se rokta hai


Dryness ki vajah se baal rookhe ho kar tootne lagte hain.Adrak ek natural conditioner ke roop me bhi kaam karta hai.Jo baalon ko moisture(nami) pradan karta hai aur dry hone se rokta hai. Adrak me linoleik acid jaise fatty acid hote hain,jo baalon ko nutrition pradan karte hain.

(3) Adrak blood flow(रक्त बहाव) me sudhaar karta hai


Adrak ke active ingredients aur jinjrol blood vessels(रक्त वाहिकाओं) ko aaram karne me madad karta hai,jisse blood circulation me sudhaar hota hai.Yeh baalon ke romo ko achchhe se poshit karta hai aur tezi se baalon ka vikaas karta hai.

(4)Adrak dandruff ko hone se rokta hai


Adrak me shaktishali antimicrobial quality(रोगाणुरोधी गुण) paye jate hain,jo dandruff ko hone se rokta hai.Kyun ki baalon me dandruff ho jane se bhi hair fall ki samasya hone lagti hai.Adrak baalon se dandruff door karne me madad karta hai.

Home Remedies For Hair Problems In Hindi-Baalon Ke Liye Gharelu Nuskhe


sundar dikhne ke liye baalon(hair) ka khoobsurat hona bhi bahot zaroori hai.Lekin lambe, ghane aur reshmi baalon ke liye aap market products istemaal karne ke bajaye ghar par hi kuchh gharelu upayon ko aazma sakte hain.
Ghar par hi kuchh gharelu nuskhon ko aazma kar bhi baalon ki achchhi tarah se dekhbhal ki ja sakti hai.

(1) Adrak ko hair oil me mila kar lagayen


Ek katore me adrak ka pest bana len aur usme baalon me lagane wala koi bhi oil achchhe se mila len.Ab apni ungliyon ki madad se isko apne baalon me achchhe se laga kar maalish kare. Isse blood circulation me sudhaar hota hai.Kam se kam 30 minute ke baad baalon ko kisi achchhe shampoo se dho len.Yeh aapke baalon ke liye conditioner ka bhi kaam karega aur aapke baalon ko mazboot bana kar unhe girne se bhi rokega.

Hair Care Tips In Hindi,Home Remedies For Hair Problems In Hindi
Home-Remedies_For_Hair_Problems


(2) Adrak ka use pest ke roop me


Apni zaroorat ke hisaab se adrak ko pani ke saath pees kar pest banalen.Ab isko apne baalon par lagayen aur 1 ghante tak laga rehne ke baad pani se achchhe se dho len.Yeh aapke baalon ko girne se bhi rokega aur unhe badhne me bhi madad karega.Yeh baalon ki dekhbhal ke liye sabse easy aur uttam tarikon me se ek hai.


Home Remedies For Hair Problems
Home Remedies_For_Hair_Problems


(3) Adrak aur lehsan(लहसन)


Adrak aur lehsan ko achchhi tarah blend(pees) kar ke pest bana len.Ab is pest ko apne baalon par lagana shuru kar den.Jab aapke sabhi baal cover ho jayen, to isko 30 minute tak laga rehne den.Ab 30 minute ke baad kisi achchhe shampoo se achchhi tarah se dho len.Kyun ki lehsan me sulfur hota hai,isliye yeh baalon ke liye bhi bahot achchha bataya gya hai.

Conclusion: Is article me baalon se related kuchh bahot hi upyogi tips bataye gaye hain,jo aapke liye helpful sabit ho sakte hain.Hum ummeed karte hain aapko kuchh achchha jaanne ko mila hoga.Is article ko poora padhne ke liye aapka bahot hi shukriya.


Aapko humara yeh article kaisa laga comment kar ke zaroor batayen aur share karna na bhulen.

Thank You

3 comments:

  1. Thanks friends, for providing such enlightening data.
    check my reference

    ReplyDelete
  2. Your remedies are really good and useful also. One more best remedy for your hair problems is herbal hair oil

    ReplyDelete
  3. I invite you to the page where see how much we have in common. Hindi tips Guru

    ReplyDelete