How To Apply Lipstick:
Aaj hum aapko lipstick meaning in hindi, how to apply lipstick, how to use lipstick in hindi, how to use lipstick for long time, lipstick tips in hindi, lipstick lagana sikhe ke baare me batayenge.How to apply lipstick_How to use lipstick in Hindi |
Hello friends mysmartways.com blog me aapka swagat hai.Is article me
lipstick se related sari jaankari sahi dhang se batayi gayi hai.Isliye please
is article ko poora end tak zaroor padhen. To aaiye shuru karte hain how to
apply lipstick ke baare me-
Lipstick Meaning In Hindi
Lipstick ka istemaal hothon ko sundar dikhane ke liye kiya jata
hai.Lipstick makeup ka ek important part hota hai.Bina lipstick ke makeup
adhura sa lagta hai.Lipstick honthon ko sundar aur chehre ko aakarshak dikhane
ka kaam karti hai.Lipstick ka istemaal khaas functions ya phir ghar se bahar
kahin aane jane ke liye kiya jata hai.
Agar honth dekhne me achchhe nahin hain ya phir unme surkhayi nahin hai,to
lipstick yeh sari problems door karne me kafi helpful sabit hoti hai.Lekin agar
lipstick ka upyog sahi tarike se na kiya jaye to phir poora makeup aur chehra
kharaab bhi dikhayi dene lagta hai.
How to apply lipstick_How to use lipstick in Hindi |
How To Apply Lipstick-How To Use Lipstick In Hindi
Lipstick lagane se pehle aksar mann me how to apply lipstick,how to use
lipstick is tarah ke sawaal or uljhan bane rehte hain.Isliye lipstick lagane se
pehle kuchh baton ka dhiyan rakhna zaroori hai,jo is prakaar hain-
1. Lipstick lagane se pehle cleansing milk ko thodi si ruhi par laga kar
honthon par malen,aisa karne se honth saaf ho jate hain.Honth saaf karne ke
baad foundation cream lagayen,isko thodi der sookhne den phir lipstick lagayen.
2. Agar honth kate phate ho to lipcare cream lagayen.Iske baad tissue paper
ko dono honthon ke beech me dabayen.Aisa karne se faaltu cream tissue paper par
aa jati hai.Iske baad powder chhidak kar honthon ko dry kar len,phir lipstick
lagayen.
3. Honthon ke size ko dekhte huye pehle honthon par outline kheench
len.Iske baad brush ki madad se lipstick lagayen.
4. Agar aapke honth mote hain,to unhe balance karne ke liye honth ke andar
ki taraf rekha(line) banayen.Phir bache huye hisse par foundation lagayen.
5. Agar honth patle hain,to honthon ki rekha se thoda sa bahar ki taraf
line kheenche.Iske alava upar ke honth par halki aur neeche ke honth par gehri
lipstick lagayen.Aisa karne se honth thode bade dikhte hain.
6. Patle honthon par humesha light shade wali lipstick hi lagayen,kyun ki
dark shade ki lipstick lagane se honth patle dikhayi dete hain.
7. Agar honthon ka size normal nahi hai,to honthon ko chehre ke anusaar
size(aakaar) dene ke liye apni zaroorat ke hisaab se outline bana kar lipstick
bharne se honthon ko sahi size diya ja sakta hai.
8. Khade(standing) ho kar lipstick lagate samay(time) aksar haath hil jate
hain,jisse lipstick ke phelne ka darr rehta hai.Isliye Aaine(mirror) ke saamne
kisi table vagairah par kohni tika kar lipstick achchhi tarah bina ruke balance
bana kar lagani chahiye.
9. Agar lipstick kisi vajah se phel jaye,to honthon par pehle powder laga
kar lipstick sukha len. Iske baad dobara se dhiyaan se lipstick lagayen.
10. Lipstick lagate samay pehle upar ke honth par lipstick lagayen aur phir
neeche ke honth par lipstick lagani chahiye.
11. Halke aur gehre color ki lipstick ka istemaal karne par honth ziyada
sundar dikhayi dete hain.Pehle halke color ki lipstick lagayen,phir dono
honthon ke beech tisue paper rakh kar faaltu lipstick hata den.Phir gehre color
ki lipstick lagayen.Dono colors ko ek sa karne ke liye 2 baar laga sakte hain.
12. Lipstick lagane ke baad honthon par lip-glass ya zara si vaseline cream
laga dene se honthon par chamak aa jati hai.
13. Kabhi bhi purani lipstick par nayi lipstick ka istemaal na karen,kyun
ki aisa karne par lipstick me ekroopta aur chamak nahi aa payegi.
14. Humesha achchhi quality ki lipstick ka hi istemaal karen,kyun ki sasti
aur low quality ki lipstick honthon ki komalta ko nuksaan pahuncha sakti hai.
15. Honthon par lagi lipstick chhutane ke liye lipstick remover ka upyog
karen.Isse honthon ki skin ke andar tak jami huyi lipstick saaf ho jati hai.
How to apply lipstick_How to use lipstick in Hindi |
Lipstick Tips In Hindi-Lipstick Lagana Sikhe
Kis color ki lipstick ka use kab
karna hai yeh bahot had tak age,functions,parties aur clothes par bhi depend
karta hai.Isliye apni age ko dhiyaan me rakh kar sahi color ko choose karen aur
khaas moukon(functions) aur dresses ke hisaab se bhi lipstick ka color choose
karna chahiye.
(A) Age-Wise,Umar Ke Hisaab Se
1. Young age ki ladkiyon ko humesha natural shade ki lipstick ka hi
istemaal karna chahiye. Isse unki natural sundarta aur badh jati hai.
2. Naukri karne wali aurton ko office me bahot gehre color ki lipstick ka
istemaal nahin karna chahiye.Ziyada age wali aurton ko halke color ki lipstick
ka istemaal karna chahiye.
3. Unmarried ladkiyon ko gulaabi ya milte julte rangon ki lipstick ka
istemaal karna chahiye.
(B) Clothes-Wise,Kapdon Ke Hisaab Se
1. Lipstick ka istemaal kapdon ke color ko dhiyaan me rakh kar karna
chahiye.Jaise ke narangi rang ke kapdon ke saath narangi aur gulaabi rang ke
kapdon ke saath gulabi lipstick ka upyog karna chahiye.
2. Kabhi kabhi kuchh dresses ke color ke hisaab se lipstick ko match kar
pana mushkil ho jata hai,phir bhi jahan tak ho sake kapdon ke rangon ka aur
lipstick ke rangon ka taal-mel(balance)bithana chahiye.
(C) Skin Color Aur Mausam Ke Hisaab Se
1. Lipstick ke color ko choose karte samay skin color aur mausam ko bhi
dhiyaan me rakhna chahiye.Gore rang ki aurton ke honthon par redness(lalima)
ziyada payi jati hai.Lekin kam gori aur
saanvle color ki aurton ke honth sundar aur healthy hote huye bhi honth laal
aur surkh nahin hote hain.
Isi tarah ke honthon ko sundar aur aakarshak dikhane ke liye lipstick ka
istemaal kiya jata hai.
2. Gore rang ki aurton par ziyadatar sabhi tarah ke lipstick colors suit
karte hain.Lekin saanvle rang ki aurton par halke rang ki lipstick hi achchhi
lagti hai.
3. Sardiyon me kuchh gehre rang ki aur garmiyon me halke rang ki lipstick
ka upyog karna chahiye.
(D) Honthon Ke Size Ke Hisaab Se
1. Lipstick ka chunaav honthon ke size par bhi nirbhar karta hai.Agar honth
ziyada mote hain,to gehre shade ki lipstick ka istemaal karna sahi rahega.
2. Agar honth normal se thode mote hain,to natural shade ka istemaal karna
sahi rahega.
3. Patle hontho ke liye normal(saadi)lipstick ka istemaal karen.
4. Normal size ke honthon ke liye tez aur gehre shade ki lipstick ka
istemaal kiya ja sakta hai.
How to apply lipstick_How to use lipstick in Hindi |
How To Use Lipstick For Long Time
Lipstick lagane ke baad honth sundar lagen aur woh adhik samay tak lagi
rahe,iske liye zaroori hai ki honth saaf suthre ho aur kate phate na ho.Bina
lipstick ke makeup adhura sa lagta hai.Lekin ziyadatar ladies ko lipstick
lagane ka sahi tarika hi maloom nahin hota hai.Is vajah se lipstick ziyada
samay tak honthon par tik nahin pati hai.
Agar lipstick lagate samay kuchh baton ka dhiyaan rakkha jaye,to yeh long
time tak honthon par ruki reh sakti hai.
1. Lipstick lagane ke liye sabse ziyada jo zaroori baat hai woh yeh ke
aapke honth healthy ho.Kate phate rukhe se na ho,verna lipstick bhi phati-phati
si nazar aayegi.Iske liye honthon ko scrub ki madad se saaf karti rahen,jisse
honth soft aur chikne se bane rahen.
2. Honthon ko samay-samay par moisturize karte rehna chahiye.Iske liye
honthon par kisi achchhe lip-balm ya glycerine ka istemaal kiya ja sakta hai.
3. Lipstick lagate samay pehle halke color ki lip-pencil se outline bana
len.Iske baad hi lipstick lagani shuru karen,isse lipstick lagana bhi aasaan ho
jayega aur lipstick lambe samay tak ruki bhi rahegi.
4. Lipstick lagane ke baad usko halka karna bhi zaroori hai,isse lipstick
jam jati hai aur uske idhar-udhar phelne ka bhi darr nahin rehta hai.
5. Lipstick ziyada samay tak ruki rahe iske liye yeh bhi zaroori hai ke aap
apne honthon par finger ki madad se halka sa powder lagayen.Isse lipstick
honthon par puri tarah se set ho jayegi. Agar lipstick halki dikhayi dene
lage,to aap 1 baar lipstick ko aur laga len.
6. Agar aap lipstick ko fridge me rakhti hain,to isse lipstick bhi nahin
ghulti hai aur yeh honthon par ziyada samay tak ruki bhi rehti hai.
Conclusion: Is article me how to apply lipstick ki saari jaankari sahi tarike se
batayi gayi hai,jaisa ke aapne upar padha hai.Hum ummeed karte hain ke aapko is
article se kafi help mili hogi.Isliye aapko jo lipstick suit karti hai usi ka
hi istemaal karen.
Yeh article poora padhne ke liye aapka shukriya.Aapko humara aaj ka yeh
article kaisa laga,iska jawab hume comment box me likh kar zaroor batayen or
share karna na bhulen.
No comments:
Post a Comment