Tips For Dry Skin Full Guidance in Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Monday, October 28, 2019

Dry skin care: 

Aksar dry skin walon ke mann me kuchh is tarah ke-(dry skin kaise hoti hai, rukhi twacha ke liye kya khana chahiye, face glow tips for dry skin, dry skin ko glow kaise kare, face pack for dry skin) sawal aate rehte hain.Is article me in sab sawalon ka samadhan bataya gaya hai.

Tips For Dry Skin in Hindi
Tips_For_Dry_Skin_in_Hindi


mysmartways me aaj hum baat karne wale hain dry skin yani rukhi twacha ke bare me.Skin alag-alag tarah ki hoti hai,kisi ki skin normal hoti hai to kisi ki oily skin hoti hai aur kisi ki dry skin.Normal skin sabse achchhi mani jati hai kyun ki normal skin walon ko apni skin ki ziyada care ya dekhbhal karne ki zaroorat nahin padti hai.

Aaj ka humara topic dry skin ke bare me hai to aaj hum dry skin ke bare me baat karenge.Dry skin ki dekhbhal karna aasan nahin hota hai.Sardiyon ke mausam me to dry skin ki problem aur bhi ziyada hone lagti hai.Agar dry skin ke hone ki vajah pata chal jaye to phir iski care,dekhbhal karna kafi aasan ho jata hai.Aaj hum aapko dry skin ki vajah(reason) aur uske aasan se upaye bhi batayenge.Kripya is article ko end tak zaroor padhe.

Dry Skin Kaise Hoti Hai Ya Dry Skin Hone Ke reason


Dry skin hone ke many reasons ho sakte hain.Kuchh aisi vajah bhi ho sakti hain jiske bare me hume pata bhi nahin rehta hai.Agar thoda in baton par bhi dhiyan rakha jaye to humare liye dry skin ki care karna thoda aur aasan ho jata hai.Aaiye jante hain dry skin hone ki kya-kya vajah bhi ho sakti hain-

1. Din me ziyada sabun(soap) ka istemal karna bhi skin ke dry hone ki vajah ho sakti hai.Dry  skin walon ko ziyada soap se face dhone par bahot pareshani ho sakti hai.Soap ke ziyada use karne se face par aur body par khushki(rukhapan) si jamne lagti hai,jisse us jagah par Itching yani khujli si hone lagti hai.Redness or elergy hone ka bhi darr laga rehta hai.

2. Kabhi-kabhi kuchh kapdon(cloths) se bhi skin dry si hone lagti hai.Kuchh is tarah ke kapde jinhe pehenne se khujli si mehsoos hoti hai,jo dry skin ki vajah ban sakte hain.

3. Sardiyon ke mausam me dry skin ki samasya aur bhi badh jati hai.Barr-baar garm pani se           nahana se bhi skin ki nami khone lagti hai.Twacha(skin) me rukhapan sa aane lagta hai.

4. Bina moisturizer lagaye ghar ke bahar jane se bhi skin me rukhapan aa jata hai.Sardiyon ke mausam me thandi hawa aur garmiyon ke mausam me garm hawa bhi dry skin hone ki ek badi vajah hai.

5. Ziyada scrub ke istemal se bhi twacha ki nami khone lagti hai,scrub ko zor-zor se chehre par malne se aur towel ke ziyada ragad-ragad ke istemal se bhi skin dry hone lagti hai.

6. Dry skin hone ki ek sabse badi vajah pani(water) kam peena bhi ho sakta hai.Pani kam peene se body me pani ki kami hone lagti hai,jisse skin bejaan si hone lagti hai.

7. Medicine ka baar-baar upyog karna bhi dry skin ki ek vajah ho sakti hi.Vaise to koi bhi medicine ka upyog kisi pareshani ke chalte hi karta hai.Lekin chhoti-2 si baat par bhi log medicine ka upyog karte dekhe gaye hain.

Gharelu Nuskhe For Dry Skin


1. Do Chhuare(छुआरे),doodh ya gulab-jal ya thande pani me bhigoye.Phool jane par chhuaron ki guthli nikaal kar phenk de aur phoole huye chhuare ko pees kar,ek chammach badaam(almond) ka tail,ek chammach malayi ya dahi aur ek chammach gehoon(गेहूं) ka atta in sabko mila kar pest ki tarah tyyar kar len aur is pest ko chehre par laga kar sookhne den.Phir gungune pani se chehra dho len.

2. Desi ghee,besan aur doodh mila kar lagane se skin komal aur chamakdar ho jayegi.Isse skin ka rukhapan jaldi hi door ho jayega.

3. Kachcha doodh,honey(शहद) aur lemon(नींबू) ka rus barabar quantity me mila kar lagane se skin ki dryness to door hogi hi,saath me chehre par wrinkles(झुर्रियों) bhi nahin hongi.

4. Ek ande(अंडा) ki peeli zardi me thodi multani mitti mila kar chehre par lagaye.Sookhne par pani se dho len.

5. Ek chammach badaam rogan me 10 chammach kachcha doodh aur thodi si cheeni(sugar) mila kar usko achchhe se mix kar ke cotton(rui) ki sahayta se chehre par laga kar 15 minute baad taaze pani se dhone se par bhi dryness door ho jati hai.

6. Dry skin ke liye ghar par hi nourishing cream banaye.Iske liye thoda gulab-jal aur thoda glycerin mix kar ke rakh len or usko daily raat me sote samay lagaye,subah uth kar pani se dho len.

7. Make-up saaf karne ke baad cleansing milk se chehra saaf kare.Sabun ka istemal bilkul na kare.Agar zaroori ho to kisi achchhe facewash ka hi use kare.

8. 15 din me kam se kam ek baar ghar pr hi steam(भाप) le kar chehre par koi achchha face-pack lagayen.Sardiyon me bahar jane se pehle moisturizer ya cold cream aur garmi ke mausam me sunscreen lagana na bhulen.

9. Week me 2 baar body par tail mal kar nahaye aur raat ko cold cream lagaye.Sardiyon me nahane ka pani ziyada garam na ho,halhe gungune pani se hi nahaye.

10. 250gm doodh ka powder ,aadha chammach badaam rogan aur perfume ki kuchh boonde nahane ke garam pani me daal kar bath-tub me kuchh der baithi rahen.Aisa karne se poora shareer(body) tarotaza rahega.

11. Dry skin ki vajah se honth(lips) bahot  jaldi fatte hain,iske liye daily raat me cream ya doodh me gulab-jal aur lemon ka juice mila kar hontho par mal len.Isse phate honth chikne dikhenge.

Rukhi Twacha ke Liye Kya Khana Chahiye


Dry skin ke liye apne khan-pan par bhi dhiyan dena bahot zaroori hai.Dry skin walon ko doodh,dahi aur makkhan ka adhik sevan karna chahiye.Inke istemal se body se rukhapan door hota hai,yeh andar se shareer ko nami pradan karti hai aur chehre par chiknavat lati hai.Pani khoob pina chahiye,shareer me pani ki kami nahin honi chahiye.Upar se aap kuchh bhi kar len,lekin agar aapki diet sahi nahin hogi to iska asar aapki skin par saaf nazar aayega.Isliye apne khane me daal,anda,fish,gajar,anjeer,santra sabzi fruits ko bhi apni diet me shamil karen.Sath hi alcohol,cigrate aur tobacoo ke sevan se khud ko bachane ki koshish karen.

Dry Skin Ke Liye Aloe Vera


Aloe vera skin aur health dono ke liye hi bahot upyogi mana jata hai.Market me bhi aloe vera ke bahot sare product available hai.Badi-badi companies bhi aloe vera ka use apne products me karne lagi hain.Aaj bahot sare beauty products me aloe vera ka istemal kiya ja raha hai.Iski vajah yeh hai ki yeh skin ko smooth,soft banati hai,skin me kasaav lati hai aur skin se dryness door karti hai.Aloe vera ke jel ko chehre par laga kar kuchh der tak message karne par yeh chehre par chamak lata hai aur iske saath hi skin ki aur bhi problems ko door karta hai.Yeh flowers plant par aasani se mil jata hai.Iska use aap apni zaroorat ke hisaab se daily ya week me 2-3 baar kar sakte hain.

Dry Skin Ke Liye Coconut Oil


Coconut oil hair ke liye to upyogi mana hi jata hai,iske saath hi yeh skin ke liye bhi bahot fayedeman mana jata hai.Agar skin dry hai to coconut oil se thodi der message karni chahiye aur kuchh der ke baad gungune pani se dho lena chahiye isse skin ka rukhapan to door hoga hi,saath hi saath skin me lacheelapan bhi aayega.Agar ho sake to nariyal ka tail raat ko sote samay laga kar so jayen.Aisa karne se din-bhar aapki skin dry nahin hogi.Coconut ka pani bhi bahot upyogi mana jata hai.Agar ho sake to iske pani ko bhi peene me laye.Yeh andar se skin ko nami pradan karta hai.

Dry Skin Ke Liye Olive Oil


Olive oil yani जैतून का तेल bhi bahot hi upyogi mana jata hai.Iska sevan khana banane me bahot kiya jata hai aur yeh skin ke liye bhi bahot achchha mana jata hai.Isko lagatar lagane se yeh skin ko dry,rukha hone se bachata hai.Iska istemal bhi aap message ke roop me kar sakte hain.

Dry Skin Ke Liye Almond Oil


Almond(बादाम)  har tarah se fayedeman mana jata hai.Iska istemal khane me bhi kiya jata hai aur iska oil bhi hair aur skin ke liye bhi bahot upyogi mana jata hai.Isko bhi aap message ke roop me skin ke liye use kar sakte hain.Yeh bhi skin ki dryness door kar ke skin komal banata hai.Isko aap daily use me bhi la sakte hain.

Dry Skin Ke Liye Glycerin


Glycerin(ग्लिसरीन) bhi skin ko lacheela banata hai.Jaisa ke upar bhi bataya gaya hai ke yeh skin ko dry hone se bachata hai.Isko gulab-jal ke saath bhi istemal kiya jata hai.Glycerin aur gulab-jal ko barabar quantity me le kar achchhe se mila le.Is mixture ko aap raat me sote samay ya phir din me kisi bhi time 1 ya 2 ghante tak laga sakte hain.

Dry Skin Ke Liye Besan Aur Haldi


Besan aur haldi bhi skin ke liye bahot hi laabhkari mana jata hai.Besan ka upyog face ko dhone me bhi kiya jata hai to haldi to itni adhik achchhi mani jati hai ke isko ubtan ke roop me bhi face aur body par lagaya jata hai.Haldi skin ke rang ko nikharne ka kaam bhi karti hai.Haldi aur besan ko ek-sath use me bhi laya jata hai.Ek chammach haldi,ek chammach honey aur thode se doodh me 2 bade chammach besan aur thoda lemon juice le kar in sabko achchhe se mila kar is pack ko chehre par laga len.Sukhne ke baad phir thode gungune pani se dho len.Isko lagane se dheere-dheere aapka rang(colour) bhi nikhrega,skin ka rukhapan bhi door hoga aur sath hi sath jo wrinkles vgairah hongi usko bhi door karega.

Dry Skin Ke Liye Till Ka Tail


Ek chammach till ke tail me thodi si cream ya doodh ki malai mila kar achchhi tarah mila len,phir usko chehre aur gardan par lagayen.15-20 minute halke haath se message karne ke baad phir isko saaf pani se dho len.Skin se rukhapan to door hoga hi saath hi skin sofr aur chamakdar bhi hogi.

Dry Skin Ke Liye Herbal Tea


Dryness ki vajah se skin bejaan si dikhne lagti hai.Normal tea ki badle Herbal tea ka hi sevan kare.Adrak aur lemon se bani tea(chay) peene se bhi twacha se rukhapan door hota hai aur skin chamakdar bhi banti hai.Green tea ko bhi upyog me laya ja sakta hai.

Dry Skin Ke Liye Exercise


Agar aapne kabhi exercise ki hai to aapne notice kiya hoga us waqt body se kafi pasina sa nikalta hai.Aisa hone se jo rom-chhidra hote hain woh khul jate hain aur andar se natural oil ko bahar nikaalte hain,jisse yeh chehre ki skin ko nami pradan karta hai aur dryness ko hone se rokta hai.Agar ho sake to din me kuchh der exercise karne ki aadat dale.

Dry Skin Ke Liye Orange Juice


Rukhi aur bejaan si dikhne wali skin ke liye orange juice kafi fayedemand sabit hota hai.Santre ke juice ko nikaal kar usko cotton(rui) se poore chehre par lagayen aur kuchh time ke baad usko saaf normal(na ziyada garam na ziyada thanda) pani se dho len.Isse skin ka rukhapan to door hoga hi saath hi rangat bhi nikhregi.Isko daily use karne par kuchh hi dino me aapko farq dikhne lagega.

Dry Skin Ke Liye Potato


Potato(आलू), isko bhi santre ke juice ki tarah istemal kar sakte hain.Aaloo ke juice ko cotton se chehre par lagayen aur sookhne par normal pani se dho len.Aapko thoda farq dikayi dene lagega.Aaloo ke juice ko bhi skin ki rangat aur saaf karne ke liye use kiya jata hai.

Dry Skin Ke Liye Multani Mitti


Multani mitti ko bhi skin ke liye bahot achchha mana jata hai.Iske liye 2 chammach multani mitti aur 2 chammach chandan ka powder le kar usme 2 chammach gulab-jal ko achchhi tarah se mila len.Is pack ko chehre par lagayen aur sookhne ke baad normal pani se dho len.Isse aapko chehra clean aur fresh nazar aane lagega or skin se dryness bhi door hone lagegi.

Note:
Upar di gayi sari jankari safety ko dhiyan me rakh kar batayi gayi hai.Is article me jitne bhi dry skin ke upchar(solution) bataye gaye hain,unme se aap apne hisaab se kisi bhi vidhi ko apna sakte hain.Agar aapko inme se koi bhi vidhi istemal karne par kisi bhi tarah ki elergy ya koi pareshani si mehsoos ho to aap turant face dho len.Ho sakta hai aapko koi aur hi samasya ho.Iske liye aap kisi skin specialist se sampark kare.

Aapko humara yeh article kaisa laga,comment box me likh kar zaroor batayen.

Thanks!

No comments:

Post a Comment