Wrinkle Free Skin Tips At Home In Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Thursday, March 12, 2020

Aaj hum aapko wrinkles meaning, jhurriyan kya hain, what causes wrinkles, jhurriyan hone ki vajah, wrinkle free skin tips at home in hindi, under-eye wrinkles home remedy, tips for under eye wrinkles in hindi, how to get rid of wrinkles under eyes when smiling, hanste waqt jhurriyon ka padna, how to get rid of wrinkles on forehead, maathe ki jhurriyan ke baare me batayenge.

Wrinkle Free Skin Tips At Home In Hindi
Wrinkle_Free_Skin_Tips At_Home In_Hindi


Hello friends mysmartways blog me aapka swagat hai. Aaj hum wrinkle free skin tips at home in hindi ke baare me batane ja rahe hain. Kripya is article ko poora end tak zaroor padhen.

Wrinkles Meaning-Jhurriyan Kya Hain


Jab twacha(skin) ko sahara dene wale tissues me paya jane wala collagen dheere-dheere khatam hone lagta hai to jhurriyan padne lagti hain. Badti umar ya kisi aur vajah se jab skin loose hone lagti hai ya dry ho kar apni nami khone lagti hai. Tab wrinkles apni jagah banane lagti hain.

What Causes Wrinkles?-Jhurriyan Hone Ki Vajah


Ek to badti umar ki vajah se skin dheeli padne lagti hai. Jis vajah se wrinkles aani shuru ho jati hain. Doosri vajah yeh hai ke skin ki theek se dekhbhaal na karna. Jis vajah se kam umar me hi jhurriyan padne lagti hain. Teesri vajah yeh hai ke bahot se log eyebrow maathe ki taraf chada kar baat karne ki aadat si daal lete hain. Is vajah se bhi jhurriyan padne lagti hain.

Yeh samasya ziyadatar dry skin waalon ke saath bani rehti hain. Rukhi twacha hote huye bhi chehre ko soap se dhona. Moisturizer ya sunscreen ka istemaal na karna. Jis vajah se twacha apni nami khone lagti hai aur rukhi ho kar wrinkles me badalne lagti hai.

Ziyada stress ya tension lene se, kam roshni me seene-pirone wale kaam se, bina sunscreen lagaye dhoop me rehne se, neend puri na ho pane ki vajah se, kam pani peene ki vajah se, tobacoo-cigrate-alcohol ke sevan se aur asantulit bhojan se bhi wrinkles aane lagti hain.

Also Read: Dark spot kaise door karen

Wrinkle Free Skin Tips At Home In Hindi


Har koi chahta hai ke uska chehra bedaag aur khoobsurat sa dikhayi de. Aise me agar umar se pehle hi chehre par wrinkles padne lage to yeh gambhir samasya si ban jati hai. Yahan kuchh gharelu nuskhe bataye ja rahe hain. Jinhe apna kar aap apne chehre se jhurriyon ko kaafi had tak door kar sakte hain.

(1) Aloe-vera


Aloe-vera har tarah se skin ke liye bahot hi upyogi mana jata hai. Isi tarah wrinkles ko door karne me bhi aloe-vera ki madad li ja sakti hai. Wrinkles yani jhurriyon par aloe-vera ka gel rozana lagane se jhurriyan dheere-dheere kam hone lagti hain.

(2) Kheera


Kheere ke istemaal se wrinkles ko kuchh dino me door kiya ja sakta hai. Iske liye kheere ke chhote-chhote pees kar ke rozana wrinkles wali jagah par 10 minute tak massage karen aur thodi der baad normal pani se dho len.

(3) Egg(अंडा)


Ande me se zardi nikaal kar safedi rok len. Ab us ande ki safedi ko wrinkles wale hisse par lagayen aur sookh jane ke baad saaf pani se dho len. Aisa rozana karne se skin tite hone lagegi aur wrinkles bhi door hone lagengi.

(4) Banana(केला)


Ek kele me ek chammach shahad aur ek chammach gulaab-jal ko achchhe se mila kar face pack bana len. Ab is face pack ko wrinkles par laga kar 15 minute baad chehre ko taaze pani se dho len.

(5) Olive Oil(जैतून का तेल)


Olive oil ke istemaal se bhi jhurriyon ko door kiya ja sakta hai. Olive oil ki kuchh boonde le kar wrinkles wali jagah par 5 minute tak massage karen aur thodi der baad normal pani se dho len.

(6) Chandan Powder


Chandan powder me haldi aur gulaab-jal mila kar pest bana len. Ab is pest ko wrinkles wali jagah par laga kar thodi der ke liye chhod den. Sookh jane ke baad saaf pani se dho len.

(7) Coconut Oil(नारियल का तेल)


Raat ko sone se pehle coconut oil se wrinkles par 5 minute tak halke haath se golai me massage karen aur subah uth kar chehre ko dho len. Aisa rozana karne se wrinkles door hone lagti hain.

Also Read: Blackheads door karen


Under-Eye Wrinkles Home Remedy-Tips For Under Eye Wrinkles In Hindi
Under-Eye-Wrinkles_Home_Remedy-Tips_For_Under Eye_Wrinkles In_Hindi


Under-Eye Wrinkles Home Remedy-Tips For Under Eye Wrinkles In Hindi


Ziyadatar chehre par wrinkles aankhon ke aas-pass ki skin par padne lagti hain. Jinko kuchh gharelu upayon ko apna kar aur kuchh baaton ka dhiyaan rakh kar door kiya ja sakta hai.

1. Aankhon ke aas-pass ki jhurriyon ko door karne ke liye eye massage bahot zaroori hai. Iske liye aap koi achchhi quality ki eye cream se aankhon ke aas-pass ki skin par golai me massage karen.

2. Rozana raat ko sone se pehle aankhon ke aas-pass ki skin par olive oil ya coconut oil se 5 minute golai me massage kar ke let jayen. Subah uth kar dho len. Isse skin ka rukhapan door hone lagega aur jhurriyan dheere-dheere theek hone lagengi.

3. Skin ko dry na hone den. Rozana din me chehre ko wash kar ke aankhon ke aas-pass aur niche ki skin par moisturizer lagane se skin dry hone se bachi rehti hai aur wrinkles bhi door hone lagti hain.

4. Apne shareer me pani ki kami na hone den. Kyun ki pani ki kami ki vajah se skin me rukhapan aane lagta hai. Jisse skin par jhurriyan aane lagti hain. Isliye rozana  8-10 glass pani peene ki aadat daal len.

5. Ek chammach dahi me ek chammach shahad(honey) aur aadha chammach gulaab-jal ko achchhi tarah mila kar pest bana len. Ab isko aankhon ke aas-pass ki jhurriyon par lagayen aur 20 minute baad saaf pani se dho len.

6. Methi(मेथी) se bhi wrinkles ka upchaar kiya ja sakta hai. Iske liye methi ke taaze patto ko pani ke saath pees len. Ab isko aankhon ke aas-pass ki jhurriyon par lagayen aur 10-15 minute baad taaze pani se dho len.

7. Castor oil(अरंडी का तेल) se bhi aankhon ke aas-pass ki skin par rozana massage karne se bhi wrinkles ki problem se chhutkara paya ja sakta hai.

Also Read: Remove pimples easily

How To Get Rid Of Wrinkles Under Eyes When Smiling-Hanste Waqt Jhurriyon Ka Padna


Aksar hanste waqt chehre ke alag-alag hisse par jhurriyan padne lagti hain. Yahan kuchh aise hi nuskhe bataye gaye hain. Jinko apna kar is tarah ki pareshani se chhutkara paya ja sakta hai.

> Argan oil ki kuchh boonde le kar jhurri padne wali jagah par laga kar 5 minute tak massage karen aur thodi der ke baad face ko wash kar len. Aisa rozana karen. Agar iske istemaal se skin me khujli ya redness ki problem hone lage to phir isko istemaal na hi karen.

> Ek chammach seb ke sirke(सेब का सिरका) me ek chammach shahad(शहद) ko achchhi tarah mix kar len. Ab is mixture ko jhurriyan padne wale hisse par lagayen aur 15-20 minute baad gungune pani se dho len. Aisa week me 2 baar karen.

> Ek chammach neebu ke ras me ek chammach shahad ko achchhe se mix kar len. Ab isko wrinkles padne wali jagah par lagayen aur 10 minute baad gungune pani se dho len.

> Ek chammach haldi me 2 chammach ganne(गन्ने) ke ras ko mila kar pest bana len. Ab isko jhurri padne wali jagah par lagayen aur 10-15 minute baad gungune pani se dho len.

> Ek chammach olive(जैतून) oil me aadha chammach kalonji oil ko achchhi tarah mila len. Ab isko rozana raat me sone se pehle wrinkles par 2 minute tak halke haath se golai me massage kar ke let jayen. Subah uth kar gungune pani se dho len.

> Rozana 8 ghante ki neend len. Kisi bhi tarah ki tension ya stress se door rahen. Tobacoo, cigrate aur alcohol ka istemaal  na hi karen. Dhoop me chehre ko dhak kar hi niklen. Iske saath hi rozana 2 litre pani peene ke istemaal me layen.


Also Read: Normal skin care tips

How To Get Rid Of Wrinkles On Forehead-Maathe ki Jhurriyan
How_To_Get_Rid_Of_Wrinkles_On_Forehead


How To Get Rid Of Wrinkles On Forehead-Maathe ki Jhurriyan


Yahan forehead wrinkles ko door karne ke liye kuchh upyogi tips bataye gaye hain.

1- Almond(बादाम) oil chehre ki skin ke liye bahot hi achchha mana jata hai. Almond oil ki kuchh boonde le kar forehead wrinkles(माथे की झुर्रियाँ) par laga kar 5 minute tak massage karen. Aisa rozana raat ko sote time hi karen aur subah uth kar chehre ko wash kar len.

2- Rozana raat ko sone se pehle maathe par thodi petroleum jelly yani ke vaseline le kar 5 minute tak ungliyon ki madad se golai me massage karen aur subah uth kar chehre ko wash kar len. Agar pimples ki problem hai to iska istemaal na karen.

3- Jojoba oil ki kuchh boonde le kar maathe par 5 minute tak golai me massage karen aur 15-20 minute baad gungune pani se dho len. Aisa roz karne se wrinkles door hone lagengi.

4- Pineapple(अनानास) ka juice nikaal kar rakh len. Ab usko ruhi ki madad se maathe ki jhurriyon par lagayen aur 15 minute ke baad taaze pani se dho den.

5- Santre ya neebu ke ras se maathe par 5 minute tak massage karen aur 10-15 minute baad saaf pani se dho len. Aisa din me 2 baar karne par jaldi asar dekhne ko milega.

6- Apne maathe par ice-cube(बर्फ़ का टुकड़ा) se 5 minute tak golai me massage karen. Aisa karne par bhi wrinkles kam hone lagti hain. Agar kisi bhi tarah ki koi problem mehsoos ho to isko na hi karen.

7- Apni diet me fresh vegetables aur fresh fruits ka sevan ziyada karen. Meat(मांस) vagairah ka istemaal jahan tak ho sake na hi karen.

8- Rozana subah ya shaam aadhe ghante ki walk zaroor karen. Isse chehre par freshness bhi bani rahegi aur blood circulation bhi theek rahega.

Note:
Aaj ke is article me chehre se wrinkles door karne ke bahot saare nuskhe aur tips bataye gaye hain. Jo aapke liye kaargar sabit ho sakte hain. Agar inme se kisi bhi nuskhe se aapko kisi bhi tarah ki pareshani mehsoos ho to phir aap usko na hi karen aur kisi achchhe skin specialist ko hi dikhayen.

Dhanyavad!

Aapko humara aaj ka yeh article kaisa laga. Iska jawab hume comment kar ke zaroor batayen aur isko ziyada se ziyada share bhi karen.

1 comment:

  1. Thanks for these remedies. This are really good but try some easy remedy like collagen. This is the best wrinkles treatment at home and you will get glowing skin.

    ReplyDelete