Remove Dandruff Naturally: Kya aap bhi hair dandruff yani ke sir ki roosi ki samasya se pareshan hain, baar-baar dandruff kyun hone lagta hai. Agar aapke mann me bhi yahi uljhan hai to yeh article aapke liye hi hai aur yeh aapke liye bahot hi upyogi sabit ho sakta hai.
remove_dandruff_naturally |
Hello friends my smart ways blog me aapka swagat hai. Aaj
kal hair dandruff ki problem ek aam samasya ban gayi hai. Jise door karne ke
liye log tarah-tarah ke jatan karte rehte hain. Hum aapko iske hone ki vajah
aur isko door karne ke aasan se tarike batane ja rahe hain. Please read continue…
Hair Dandruff Causes In Hindi-Dandruff Hone Ke Karan
Sabse pehle to is baat ko janna bahot zaroori hai ki
dandruff kyun hota hai. Garmiyon ke mausam me pasina aane ki vajah se aur jinki
skin oily hoti hai to sir ki skin se oil nikalne ki vajah se gandgi si jam jati
hai. Jisse sahi se safai na ho pane ke karan baalon ki jadon me wahi gandgi
dandruff me badal jati hai.
Sardi ke mausam me ziyada garam pani se nahane se sir ki
skin ki nami khone lagti hai aur rukhi ho jane ki vajah se dandruff ki problem
honi shuru ho jati hai. Iske saath hi ziyada tali bhuni chize khane se aur pani
kam pine ki vajah se bhi is tarah ki problem honi shuru ho jati hai.
Desi Nuskhe For Dandruff In Hindi
Yahan dandruff door karne ke kuchh aasan se gharelu nuskhe
bataye gaye hain. Jinko aap ghar me aasani se bana kar isemaal kar sakte hain.
Dahi: Dandruff door karne ke liye dahi ko bahot hi upyogi
mana jata hai. Baalon ko dahi se dhone par dandruff door hone lagta hai. Aisa aap
hafte(week) me 2 baar kar sakte hain. Isse dandruff to door hoga hi saath hi
saath hair bhi shine karne lagenge.
Tulsi: Tulsi aur neem ki pattiyon ko pani me daal kar tab
tak ubalen(boil) jab tak pani aadha na reh jaye aur jab pani halka gunguna ho
jaye to baalon ko achchhe se dho len. Aisa karne se kuchh hi dino me dandruff
ki problem door hone lagegi.
Green Tea: Green tea bhi dandruff rokne ke liye kaargar
sabit ho sakti hai. Iske liye green tea ko pani me 15 minute tak ubalen aur
pani thoda thanda ho jane par baalon ko dho len. Lagataar aisa karne se baalon
se dandruff door hone lagegi.
Egg(anda): Anda vaise bhi baalon ke liye bahot achchha mana
jata hai. Dandruff door karne ke liye ande ki zardi ko baalon par achchhe se
laga len aur 45 minute ke baad baalon ko dho len. Ande ki smell door karne ke
liye aap thodi der baad shampoo se dobara baalon ko dho len.
Besan: Dandruff door karne ke liye besan ko pani me achchhi
tarah mila kar pest bana len. Yeh pest na ziyada gaadha ho aur na hi ziyada
patla. Ab is pest ko dandruff wale hisse par laga kar ek ghante tak laga rehne
de. Uske baad saaf pani se achchhi tarah se dho len.
Also read: Baalon ki dekhbhal kaise kare
Nimbu Se Dandruff Kaise Hataye
Nimbu skin ke liye to achchha mana hi jata hai aur yeh
dandruff ko bhi aasani se door kar sakta hai. Agar isko sahi tarike se istemaal
kiya jaye to yeh dandruff ko kuchh hi dino me door kar dega.
1. Nahane se pehle neembu ke ras ko cotton ki sahayta se
baalon ki jadon me achchhe se laga len. Phir 15-20 minute baad baalon ko dho
len.
2. Neembu me thoda sa dahi aur besan mila kar lagane se bhi
baalon se dandruff door hone lagta hai.
3. Neembu ke ras aur coconut oil ko barabar ki quantity me
le kar achchhi tarah mix kar len. Ab is mixture ko baalon me laga kar halke
haath se maalish kare aur aadhe ghante baad dho len. Yeh dandruff door karne ka
achchha nuskha mana jata hai. Jise aap rozana bhi kar sakte hain.
4. Multani mitti me pani aur neembu ka ras mila kar ek normal pest tayyar kar len. Ab isko dandruff wali jagah par lagayen aur 20-25 minute ke baad dho len.
5. Neembu ke ras ko sarson ke tel me achchhi tarah mix kar len aur baalon me 10 minute tak dhire-dhire malish kare. Phir 15 minute baad baalon ko achchhe se dho len.
Also read: Pimples door kare kuchh hi din me
Oily Dandruff Treatment At Home In Hindi
Oily dandruff jiski vajah skin ka ziyada oily hona hota hai.
Aksar garmiyon ke mausam me sir se ziyada oil nikalne se aur pasina aane ki
vajah se baalon ki jado me gandgi jam jati hai. Jiske karan dandruff aane lagta
hai. Niche diye huye upayon se ise door kiya ja sakta hai.
1. Oil dandruff door karne ke liye aloe-vera ke gel ko
baalon ki jado me lagayen. Aisa raat ko sote samay karen to ziyada behtar
rahega aur subah uth kar dho len. Isse sir ki skin se extra oil nikalna kam ho
jayega aur dandruff bhi door hone lagega.
2. Oily dandruff ke liye neembu ka istemaal karna ziyada
sahi rehta hai. Ek glass pani me ek neembu ke ras ko achchhe se mila len. Ab
isse baalon ko dho len aur 15 minute baad baalon ko saaf pani se dobara dho
len.
3. Oily dandruff me piyaaz bhi ek achchha gharelu nuskha sabit
ho sakta hai. Piyaaz ke ras ko baalon ki jadon me achchhi tarah laga len aur 15
minute baad dho len. Piyaaz ki smell ko door karne ke liye aap anti-dandruff
shampoo ka istemaal bhi kar sakte hain.
4. Oily dandruff door karne ke liye seb(apple) ka sirka bhi
ek achchha gharelu upay hai, jo ke market me aasani se mil jata hai. Seb ke
sirke ko baalon ki jado me aur jahan-jahan dandruff hai vahan-vahan lagayen aur
30 minute baad baalon ko dho len.
5. Oil dandruff me pani ka istemaal ziyada Karen. Din me kam
se kam 8-10 glass pani zaroor peene ki koshish karen aur hafte me 3 baar baalon
ko achchhe se dhoyen. Iske saath hi stress bilkul bhi na len.
Also read: Get pink lips in some days
Dandruff And Hair Fall Solution In Hindi
Agar aapko dandruff aur hair fall dono ki hi problem hai. To
phir aapko lehsun(garlic) ka istemaal karna chahiye. Yeh aapke liye bahot hi
kaargar sabit ho sakta hai. Lehsun baalon ko girne se bhi rokta hai aur
dandruff ko bhi khatam kar deta hai.
Isko aap pees kar bhi sir me laga sakte hain. Ya phir kisi
shampoo aur oil me bhi mix karke istemaal kar sakte hain. Iske lagataar
istemaal karne par kuchh hi dino me hair fall aur dandruff ki problem door hone
lagegi.
Also read: Sir ke baalon ko girne se roken
Dandruff Ke Liye Shampoo
Dandruff door karne ke liye kaunsa shampoo istemaal karna
chahiye. Jisse baalon se dandruff bhi door ho jaye aur baalon ko koi nuksaan
bhi na ho. Aapke mann me bhi is tarah ka sawaal aata hoga. Jab aap dandruff ke
liye koi shampoo lene ki soch rahe hote hain.
Dandruff ke liye humesha ani-dandruff shampoo ka hi istemaal
Karen. Ziyada chemical wale shampoo ka chunaav na karen. Isse baalon ko nuksaan
hoga. Isliye organic shampoo ko hi apnana behtar rahega. Niche diye gaye
shampoo dandruff ke liye bahot hi kaargar bataye gaye hain.
(1). Head & Shoulder Anti Dandruff Shampoo
(2). Ayush Anti Dandruff Neem Shampoo
Dandruff Ke Liye Best Oil
Yahan hum aapko homemade aur readymade dono hi tarah ke oils
ke baare me batayenge. Jinka use aap dandruff door karne ke liye kar sakte
hain.
Homemade oils:
1. Coconut oil yani ke nariyal ke tel me neembu ka ras mila
kar baalon me lagane se kuchh hi dino me dandruff door hone lagta hai.
2. Coconut oil me jojoba oil ko mila kar baalon me lagane se
sir se dandruff door hone lagta hai.
Readymade oils:
(1). Clinic all clear hair oil
(2). Vestige hair oil
Note:
Is article me dandruff se related kuchh upyogi batein aur aasan se gharelu upay bataye gaye hain. Jo aapke liye kargar sabit ho sakte hain aur is baat ka bhi dhiyaan rakkha gaya hai ki koi bhi harmful ingredients humare maadhyam se na bataya jaye.
Phir bhi kisi bhi nuskhe se aapko kisi bhi
tarah ki koi pareshani mehsoos ho to usko dobara try na kare. Agar aapki
dandruff allergy type ki hai to aise me hair specialist ya doctor ki hi salah
len.
Thank You!
Aapko humara yeh article kitna helpful laga. Iska jawab aap
comment kar ke zaroort bataye aur isko share karna na bhulen.
Really amazing blog!!! I enjoyed the complete article? enormous written.
ReplyDeleteview website
You have provided valuable data for us. It is great and informative for everyone.Read more info about hair salon downtown vancouver Keep posting always. I am very thankful to you.
ReplyDelete