Top 10 Home Remedies For Sunburn Treatment At Home In Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Sunday, October 18, 2020


Home Remedies For Sunburn Treatment In Hindi
Home_Remedies_For_Sunburn_Treatment_In_Hindi


 SUNBURN:

Sunburn kya hota hai. Sunburn kyun hota hai. Sunburn se kaise bacha ja sakta hai. Sunburn jaisi problem ko kaise theek kiya ja sakta hai. In saare sawalon ke jawab aapko is article me jaanne ko milenge. Jo aapke liye kaafi helpful sabit ho sakte hain.


Sunburn Meaning In Hindi | Sunburn Kya Hota Hai


Sunburn matlab dhoop se jhulsi huyi skin. Sunburn ek tarah ki gambhir skin problem hai. Jo aksar ziyada der tak dhoop me rehne par hone lagti hai. Yeh keval face par hi nahin balki shareer ke kisi bhi hisse par ho sakti hai. Humare shareer ka woh khula hua hissa(part) jo lagataar dhoop ke sampark me aata hai wahan par sunburn hone ka khatra bana rehta hai.


Yeh kisi bhi mausam me ho sakta hai. Sunburn ho jane par skin laal padne lagti hai aur usme khujli si bhi hone lagti hai. Aisa aksar ziyada der tak dhoop me rehne par hota hai. Jisse skin jhulas jati hai aur skin kaali padne lagti hai. Jo dekhne me bhaddi dikhayi dene lagti hai.


Home Remedies For Sunburn Treatment At Home In Hindi
Home_Remedies_For_Sunburn_Treatment_In_Hindi



Also Read: Wrinkle Free Skin Tips

Also Read: Remove Pimples At Home


Top 10 Home Remedies For Sunburn Treatment At Home In Hindi | Dhoop Se Jali Skin Ka Ilaj


Yahan sunburn ki problem ko door karne ke 10 gharelu upchaar bataye gaye hain. Jinhe aap aasani se ghar par hi istemaal kar sakte hain. Jinhe apna kar sunburn jaisi skin problem ko kaafi had tak door kiya ja sakta hai.


(1) Dahi 

Dahi chehre ki skin ko komal banane ke sath-sath sunburn ki problem ko door karne me bhi kafi kaargar sabit ho sakta hai. Dahi ko rozana chehre par laga kar sookhne ke liye chhod den. Phir thande pani se chehre ko dho len. Iske lagataar istemaal se kuch dino me hi kafi fayeda nazar aane lagega.


(2) Aloe-Vera 

Aloevera skin ke liye vardaan mana jata hai. Sunburn ki samasya door karne ke liye taaze aloevera ke gel ko sunburn wali jagah par lagayen aur ek ghante baad saaf pani se dho len. Isko rozana lagane se kuch dino baad sunburn ki problem kafi had tak door hoti nazar aayegi.


(3) Kheera 

Jis tarah kheera chehre ke daag dhabbo ke liye behtar mana jata hai. Usi tarah yeh sunburn ki problem ko bhi door karne me madadgaar sabit hota hai. Kheere ko pees kar chehre par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se dho len. Aisa rozana bhi kar sakte hain. Taaze kheere ka hi prayog kare.


(4) Baking Soda 

Baking soda bhi sunburn door karne ka ek achchha gharelu nuskha hai. Zaroorat ke hisaab se baking soda len aur usme utna hi pani milayen jisse ke lagane yogya pest ban jaye. Ab is pest ko chehre par lagayen aur 15 minute baad thande pani se chehre ko dho len.


(5) Honey(Shahad) 

Asli shahad chehre ki har samasya ko door karne ke liye achchha gharelu nuskha bataya gaya hai. Sunburn ki samasya me isko chehre par achchhi tarah lagayen aur 20 minute baad chehre ko thande pani se dho len. Aisa rozana ek baar zaroor karen.


(6) Vitamin-E Capsule 

Vitamin-E capsule bhi chehre ki skin ko daag-dhabbo se door rakhte hai. Yeh aapko aasani se chemist ki shop par mil jayenge. Isko aap tod kar usme se nikalne wale oil ko skin par laga kar kuch samay baad taaze pani se dho len. Aisa rozana raat ko sote samay bhi kar sakte hain.


(7) Milk 

Agar sunburn ki samasya hai to aise me thanda kachcha doodh cotton ki sahayta se chehre ki skin par lagayen aur ek ghante baad taaze pani se dho len. Aisa rozana din me 2 baar karen. Jab tak ke sunburn ki samasya theek nahi ho jati tab tak iska prayog karte rahen.


(8) Papita 

Papita pet ki samasya ko door karne ke saath-saath skin ke liye bhi ek kaargar gharelu upay mana jata hai. Sunburn ki samasya me papite ko achchhi tarah mixer me pees len. Ab isme shahad ko mila kar pest bana len. Ab isko chehre par lagayen aur sookhne ke baad taaze pani se dho len.


(9) Neebu 

Neebu chehre ki har tarah ki problem door karne ke liye prayog kiya jata hai Aur yeh ek achchha skin toner bhi mana jata hai. Sunburn ki problem me bhi neebu ke ras ko shahad me mila kar pest ki tarah chehre par lagayen aur 20 minute baad thande pani se chehre ko dho len.


(10) Gulaab-Jal 

Gulaab jal chehre ki skin ko saaf karne ke saath hi thandak bhi pahunchata hai. Kyun ki sunburn ki samasya me skin me thodi jalan si bhi mehsoos hone lagti hai aur gulaab jal skin ko thandak pahuncha kar jalan door karta hai. Isliye din me 2 baar isko cotton se skin par lagayen aur 30 minute baad pani se dho len.


Home Remedies For Sunburn Treatment At Home In Hindi
Home_Remedies_For_Sunburn_Treatment_In_Hindi



Also Read: Gharelu Nuskhe For Blackheads

Also Read: Hontho Ka Kalapan Door Kare


Some Importants Tips For Sunburn In Hindi


  • Agar aap kuch baton ka dhiyaan rakkhen to sunburn jaisi samasya se apni skin ko bacha sakte hain.


  • Ziyada der tak dhoop me rehne se bachen.


  • Ghar se bahar jate waqt sunglass ka istemaal karen. Apne chehre aur body ko dhak kar hi niklen. Hathon par gluffs ka upyog karen.


  • Sardiyon me bhi suraj ki taraf chehra kar ke na baithen. Humesha suraj ki taraf peeth kar ke hi baithen aur lagataar dhoop me baithne se bachen.


  • Garmiyon me bahar jane se pehle aur sardiyon me dhoop me baithne se pehle chehre, gardan, haath aur pairon par sunscreen cream ya lotion zaroor lagayen.


  • Bahar se ghar aane par chehre, haath aur pairon ko achchhe se wash zaroor karen.


  • Pani ka istemaal ziyada karen. Din me kam se kam 8-10 glass pani peene ki koshish karen.


  • Khaane me hari sabziyon aur fruits ka sevan ziyada karen. Non-veg(meat) aur tali-bhuni cheezon se parhez karen.


Also Read: Chehre Ke Kale Dhabbo Ko Door Kare


Note:

Is article me sunburn se related kuch jaankari batayi gayi hai. Jisme is baat ka dhiyaan rakkha gaya hai ke humare dwara aapko kuch aisa na bataya jaye jisse aapko kisi bhi tarah ka koi nuksaan pahunche. Agar aapko koi allergy hai ya problem gambhir hai to aap doctor se mil kar hi advice len.

 

Thanks!

 

Agar aapko yeh article zara bhi helpful laga ho to isko share karna na bhulen.

No comments:

Post a Comment