Oily Skin Care Tips in Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Wednesday, October 30, 2019

Oily skin care tips: 

Aaj ka humara topic oily skin ke upar hai.Oily skin wale aksar is tarah ke searches(tips for oily skin, fairness skin tips for oily skin, gharelu nuskhe for oily skin, beauty tips for oily skin, oily skin ko kaise nikhare, oily skin ke liye cream)me lage rehte hain.Is article me humne in sari problems ka solution dene ki poori koshish ki hai.Kripya isko end tak zaroor padhen.

Oily Skin Care Tips in Hindi
Oily_Skin_Care_Tips_in_Hindi


Aaj hum oily skin ki problems aur solution batane ke saath-saath iske hone ki vajah ko bhi batayenge.To chaliye shuru karte hain-

Oily Skin Kaisi Hoti Hai


Face par ziyada oil ke aane ko oily skin kaha jata hai.Oily skin rukhi-sukhi skin ke ekdum vipreet hoti hai.Kuchh logon ki skin itni adhik chikni hoti hai ke tail,cream na lagane par bhi aisa lagta hai jaise abhi-abhi tail ki malish ki gayi hai.Is tarah ki skin se oil zaroorat se ziyada nikalta hai.
Aesi skin ki pehchan karna bahot hi aasan hai.Raat ko chehra achchhe se wash karke so jaiye aur subah uthne par apne chehre ko tissue paper ya cotton ke kisi saaf kapde se ponchhe(पोंछे).Agar tissue paper ya kapde par tail aata hai,to samajh jaiye aapki skin(twacha)oily  hai.

Oily Skin Hone Ki Vajah(Causes Of Oily Skin)


Oily skin hone ke bahot sari vajah(कारण) ho sakte hain.Aaj hum aapko iske hone ki vajah bhi batayenge ke aakhir skin se itna oil kyun nikalta hai,kis vajah se skin oily ho jati hai.To aaiye jaante hain iske hone ke pichhe kya-kya vajah ho sakti hain-

1. Galat Khan-Paan(खान-पान):

Oil skin ki ek vajah galat khan-paan bhi ho sakta hai.Dekha gaya hai ke aaj kal log bahar ki khane-peene ki chhezon me bahot dilchaspi dikhane lage hai.Magar oily skin walon ko oily food se parhez rakhna bahot zaroori hai.Kisi bhi tarah ka food  jisme oil aur mirch masalon ka ziyada istemal kiya gaya ho,chahe woh bahar ka ho ya ghar ka is tarah ke khane se bachna chahiye.

2. Dairy Products:

Dairy products se matlab jo cheezen doodh se banayi jati hain.Oily skin walon ko butter(मक्खन), desi ghee aur malai se khud ko door rakhna chahiye,kyun ke makkhan,desi ghee aur malai me bahot ziyada chiknavat hoti hai.Inke adhik sevan se oily skin hone lagti hai.

3. Pani Ka Kam Use Karna:

Water yani ke pani ko kam peena bhi oily skin hone ki ek badi vajah ho sakta hai.Bahot se log pani ka bahot kam istemal karte hain.Aksar sardiyon aur barsaat ke mausam me kam piyaas lagne se bhi pani ko kam piya jata hai aur body me pani ki bahot kami ho jati hai.Pani ki kami ki vajah se shareer se nami khone lagti hai.

4. Stress(तनाव):

Oily skin ke hone me stress ka bhi bada role yani ke yogdaan ho sakta hai.Zaroorat se ziyada stress me rehna bhi oily skin ki vajah ban sakta hai kyun ke ek research(शोध) me paya gaya hai ke ziyada stress me rehne se shareer se cortisol namak hormone(हार्मोन) nikalne lagta hai,jiski vajah se skin oily hone lagti hai.

5. Heredity(आनुवांशिकता):

Ek research me paya gaya hai ke oily skin heredity par bhi depend(निर्भर) karta hai.Iska matlab yeh hai ke agar aapke mata-pita(parents) me se kisi ki bhi skin oily hai,to aapki skin bhi oily hone ke ziyada chance rahenge.Aksar aisa paya gaya hai ke jin logon ki skin oily hoti hai,to unke bachchon me bhi yeh samasya(problem) payi jati hai.

6. Age Effect(उम्र का असर):

Yeh kehna galat nahin hoga ke age ka bhi skin par bahot asar padta hai.Kishor-avastha me ladke aur ladkiyon dono ke sharer me hormone (हार्मोन) me badi tezi se parivartan hone lagta hai, jiski vajah se unki skin par asar dekhne ko milta hai. 18 year ki age se hi ladke aur ladkiyon ki skin me oil ka level badh jata hai.Is vajah se bhi unki skin oily ho jati hai.

7. Mausam Ka Asar:

Mausam ka bhi skin par bahot asar padta hai.Mausam me badlao hone se khaas kar garmiyon me skin se kafi paseena nikalne ki vajah se bhi skin oily hone lagti hai aur yeh samsya garmi ke mausam me ziyada badh jati hai.Garmi me adhik nami ki vajah se paseena aata hai jiske vajah se skin par oil aane lagta hai.

8. Hair Oil:

Hair oil ki vajah se bhi skin oily hone lagti hai.Hair oil me chiknavat hoti hai aur ziyada chipchipa hair oil use karne par bhi skin oily honi lagti hai.Garmi ke mausam me ziyada hair oil ka istemal karne se oily skin walon ki samasya aur bhi ziyada badh jati hai.

9. Make Up:

Make up bhi oily skin ki ek badi vajah ho sakti hai.Ladies ka face par ziyada make up ka istemal karna bhi skin ko nuksan pahuncha sakta hai.Make up ke ziyadatar products me chemical paye jate hain. Jinko adhik istemal karne se skin ke rom-chhidra band ho jate hain, is vajah se skin oily hone lagti hai.

10. Skin Care Product:

Humare shareer me sabse nazuk skin face ki hi hoti hai.Isliye zaroorat se ziyada usko achha dikhane ke chakkar me bahot sare skin care products ka istemal karne lagte hain, jo humari skin ko sirf nuksaan hi pahunchate hain.Scrub ka baar-baar use karna,scrub ko zor-zor se ragadne se face ki skin polish bejaan si hone lagti hai aur is vajah se bhi skin se ziyada oil nikalna shuru ho jata hai.

11. Harmonal Medicine:

Harmonal medicine se matlab jaise ke गर्भनिरोधक Goliyan.Inke adhik sevan karne ki vajah se bhi skin ke oily hone ka khatra badh jata hai.Iske saath-saath pimples vgairah ki problem bhi ho sakti hai.

Specialty of Oily Skin- तैलीय त्वचा की विशेषता


Oily skin me दोष hone ke sath-sath iski ek विशेषता yeh bhi hai ke iska age(umar) par kam hi asar padta hai.Kehne ka matlab yeh hai ke oily skin ke adhik aayu(age) wale log bhi normal age ke dikhte hain.Aese logon ki sahi age ka pata nahin chalta hai.sardiyon ke dino me aesi skin walon ko cold cream vagairah lagane ki khaas zaroorat nahin padti hai.

Oily Skin Hone Ke Nuksaan


Oily skin ka sabse bada दोष yeh hai ke aesi skin par pimples aane ka darr ziyada rehta hai.Ghar se bahar jane par dhool aur pollution ka saamna karna padta hai.Skin ke oily hone ki vajah se dhool aur pollution(प्रदूषण) hanikarak bacteria aasani se skin me chipak jate hain aur skin ko nuksaan pahunchate hain.Jiski vajah se face par dark spot,pimples,blackheads & whiteheads nikalne lagte hain.Aesi skin par jhurriyan(wrinkles) hone ka bhi darr bana rehta hai.

Oily Skin Care


  • Oily skin walon ko apni skin ki bahot ziyada care karni chahiye.Skin ki safayi par ziyada dhiyan dena chahiye.Bahar se aane par face ko achchhi tarah se dholen.Face dhone ke liye kisi neem wala soap nahin to koi oil free facewash hi behtar rahega.Ghar par rehne par bhi thodi-thodi der baad chehre ko saaf pani se dhona chahiye.Din me kam se kam 2 baar oil free facewash se chehre ko dhona achchha rahega.


  • Aisi skin walon ko din me 8-10 glass pani zaroor peena chahiye.Ziyada oily,mirch-masale wali cheezon se bachna hi behtar rahega.Aisi skin walon ko make up halka karna chahiye.Make up me cream ke badle powder ka istemal karna chahiye.Sone se pehle chehre ko kachche doodh se saaf karna chahiye aur 15 din me ek baar to zaroor steam(भाप) leni chahiye,jisse ke chehre se balckheads bhi nikal jayen.


 Gharelu Nuskhe For Oily Skin in Hindi


Oily Skin Care Tips in Hindi
Oily_Skin_Care_Tips_in_Hindi

1. Egg(Anda)

Ande ki safedi oily skin ke liye bahot upyogi mani jati hai.Ande ki safedi skin se oil,daag-dhabbe to door karti hi hai,sath hi sath skin ko tite bhi banati hai.Ande ki peeli zardi nikaal kar bachi huyi safedi ko apne chehre par laga kar kuchh der ke liye chhod de.Sookhne ke baad saaf pani se dho len.Isko aap neebu(lemon) ke sath bhi use kar sakte hain.Ande ki safedi aur neebu ke ras ko zaroorat ke hisaab se achchhi tarah mila len aur face par laga kar chhod den.Sookhne ke baad face ko pani se dho len.

2. Dahi(दही)

Dahi har tarah se fayedemand bataya gaya hai.Isko face par lagane se chehre ke oil ko sookh leta hai aur skin ko thandak pahunchata hai.Oily skin walon ko khane me bhi dahi ka use karna chahiye aur chehre par bhi lagana chahiye.Isko aap chehre par laga kar 15-20 minute baad pani se dho len.Yeh oil ko control karne me upyogi sabit hoga.

3. Lemon(नींबू)

Neebu yani lemon ka ras oily skin ke liye achchha to mana hi jata hai,sath hi neebu pani ko peene se bhi yeh skin ko fresh banaye rakhta hai.Din me 1 ya 2 baar neebu pani zaroor peene ki aadat daal le.Neebu ke ras ko aap pani me mila kar chehre par 15-20 minute ke liye laga kar chhod de aur uske baad face ko wash kar len.Yeh chehre se oil ko saaf kar dega.

4. Aloe-Vera

Aloe vera to har tarah ki skin ke liye achchha mana jata hai.Iska istemal aap oily skin ke liye bhi kar sakte hain.Aloe vera ke gel ko chehre par achchhi tarah laga kar kuchh time ke liye chhod de.Uske baad saaf pani se dho len.Isko aap daily use me bhi la sakte hain.

5. Multani Mitti

Multani mitti bhi skin ki problems ko door karne ka ek asardar tarika bataya gaya hai.Yeh pimples me bhi achchha mani jati hai.Isko aap oily skin ke liye bhi istemal kar sakte hain.Isko aap chehre par laga kar chhod de aur sookhne ke baad saaf pani se achchhe se dho len.Lekin ziyada ragad-ragad kar na dhoyen,halke hathon se hi dho kar saaf kare.

6. Tamatar(potato)

Tamatar skin ko thandak pahuchata hai aur achchhe se skin ko saaf bhi kar deta hai.Yeh oily skin ke liye bahot hi achchha mana jata hai.Tamatar ko thoda golayi me bareek kaat kar ab usko apne chehre par halke-halke tab tak ragden,jab tak uska sara juice sookh na jaye.Ab usko chehre par thodi der laga rehne ke baad pani se dho len.Aesa karne se skin oil free ho jayegi.

7. Kheera(खीरा)

Kheera bhi skin ko thandak pahuchane ka kaam karta hai aur yeh oily skin ke liye bhi upyogi mana jata hai.Isko bhi aap tamatar ki tarah bareek golayi me kaat kar skin par halke-halke ragad kar chhod de.kuchh der baad saaf pani se dho kar saaf kar len.Yeh skin se sara oil saaf kar dega.


8. Haldi(हल्दी)


Haldi health aur skin dono ke liye hi bahot achchhi mani jati hai.Isko aap skin se oil hatane ke liye bhi upyog me la sakte hain.Iske liye haldi aur neebu ke ras ko achchhi tarah se mila kar kuchh time ke liye face par laga kar chho de.Sookh jane par dheere-dheere pani se dho kar saaf karlen.Skin se extra oil nikal jayega.


9. Besan


Pehle ke zamane me log skin ko sundar banana ke liye besan ka use bahot kiya karte the.Besan se chehre ko dhone par chehre ki skin soft rehti hai aur skin se oil bhi saaf ho jata hai.Isko gulab-jal me mila kar face pack ke roop me bhi istemal kiya ja sakta hai.


10. Almond(बादाम)


Badaam har lihaaz se ek achha dry food mana jata hai.Yeh health aur hair ke liye to upyogi hai hi, sath hi sath skin ke liye bhi bahot achchha mana jata hai.Almond ka use aap is tarah kar sakte hain-thode badaam pees kar usme shahad(शहद) ko achchhe se mila le, ab isko poore face par dheere-dheere se malish Karen.Malish karne ke 20 minute baad pani se dho len.


Oily skin ke liye cream:


Oily skin wale aksar isi confusion(उलझन) me rehte hain ke konsi cream use kare or konsi nahin.Is pareshani ko door karne ke liye market me alag-alag companies ki bahot sari cream available hain.Gharelu upayon ke alava bhi aap is tarah ki cream ka use skin se oil kam karne ke liye kar sakte hain.Yaad rahe oily skin ke liye aap oil free cream ka hi istemal Karen.


Oily skin care tips for man:


Ladke apni skin ki taraf ziyada dhiyan nahin de pate hain.Oily skin wale ladke kuchh in baton ka rakkhe dhiyan-


1. Apni skin ke hisaab se sahi facewash ka istemal kare.Chehre ko dhone ke liye sahi cleanser ka prayog kare.


2. Facewash se dhone par bhale hi skin saaf ho jati ho,magar skin ki achchhe se safayi karne ke liye scrub ka bhi istemal kare.Scrub karne se skin me extra oil nikal jata hai,jisse blackheads aur pimples ka bhi darr nahi rehta hai.


3. chehre ko saaf karne ke liye dahi ka istemal kare.Isko cotton ki madad se chehre par lagaye.Thodi der message karne ke baad chehre ko pani se dhole.Isse chehra to saaf hoga hi aur rangat bhi khilegi.


4. Oily skin hone ki vajah se bahot se log moisturiser ka istemal karna zaroori nahin samajhte hain,lekin oily skin ko bhi moisturiser ki zaroorat hoti hai.Oil free moisturiser ke istemal se skin se oil nikalna kam ho jata hai.


5. Chehre ko achchhi tarah dhone ke baad toner ka istemal zaroor kare.Toner use karne se skin puri tarah se saaf ho jati hai aur freshness bhi bani rehti hai.


Beauty Tips For Oily Skin- Oily Skin Ko Kaise Nikhare

 

  • Santre(orange) ke chhilkon ko sukha kar usko pees kar uska powder banale aur usko gulab-jal me achchhi tarah mila kar pest banale.face par laga kar sookh jane par pani se dhole.Isse skin se oil to free hoga hi saath hi daag-dhabbe bhi door hone lagenge aur skin ka rang bhi nikhrega.

 

  • Pudine ko pees kar usme neebu ke ras ko achchhi tarah mila kar pest banale.Ab is pest ko chehre par laga kar chhod de.sookh jane par pani se dho le.Isse oil bhi saaf ho jayega aur chehre ka rang bhi saaf nazar aane lagega.

 

  • Seb(apple) aur neebu ke ras ko barabar quantity me mila lijiye aur phir isko chehre par 15-20 minute tak laga kar chhod dijiye,baad me chehre ko saaf pani se dho lijiye.Isse oil bhi control hoga aur rang bhi saaf ho jayega.

 

  • Dahi me neebu ka ras aur narangi ke ras ko mila kar apne chehre par lagaiye.Kuchh time baad saaf pani se dho dijiye.Aisa karne se bhi chehra chamak uthega aur oil bhi saaf ho jayega.

 

  • Ande(egg) ki safedi me neebu ka ras achchhe se mila kar mix karle aur phir isko chehre par laga kar 15-20 minute tak chhod de.Uske baad saaf taaze pani se chehre ko dhole.

 

Note: Upar di gayi sari jaankari safety ko dhiyan me rakh kar batayi gayi hai.Is article me oily skin se related bahot sare gharelu upchaar bataye gaye hain.In me se jo bhi upchaar apko aapke hisaab se aasan aur sahi lagta ho usko aap istemal me la sakte hain.

 

Agar aapko humara yeh article helpful laga ho to kripya hume comment kar ke zaroor batayen.

1 comment:

  1. Appreciating the time and effort you put into your blog, I’m adding your RSS feeds to my Google account. sunscreen tattoo

    ReplyDelete