Makeup tips in hindi:
Aaj hum aapko makeup se sambandhit(natural makeup tips , summer makeup tips, makeup tips for oily skin, makeup tips for dry skin, makeup kaise kare step by step, full face makeup steps, makeup tips for parties)yeh sari jaankari denge.Kripya is article ko end tak zaroor padhen.Makeup_tips_in_hindi |
Mysmartways blog me aapka suagat hai.Sundar dikhna har kisi ki chahat hoti
hai aur honi bhi chahiye,kyun ke sundar dikhne ka haq har kisi ko hai.Sahi
tarike se kiya gaya makeup aapki sundarta me chaar-chand laga deta hai.Makeup
simple se chehre ko bhi khoobsurat tasveer me badal deta hai.Aurat ke saundarya
ka sabse bada sadhan chehra hota hai,isliye chehre ki skin ki care karna bahot zaroori
hai.
Lekin agar makeup products ko sahi tarike se use na kiya jaye to phir wahi
makeup chehre ko kharaab bhi kar sakta hai aur skin ko nuksaan bhi pahuncha sakta
hai.Aaj ke makeup tips in hindi
article me hum makeup aur usko use karne ke sahi tarike ko batane ja rahe hain.Jisse
aap parlour na ja kar ghar par hi apna makeup karke paisa aur time dono hi
bacha sakti hain.To aaiye shuru karte hain:-
TOP 17 MAKEUP TIPS IN HINDI
Makeup tips in hindi |
1. Face wash
Make up shuru karne se pehle chehre ko kisi achchhe facewash se dho
len.Face wash ka selection aap apni skin ke anusaar hi kare.Agar skin oily hai
to oil control face wash aur agar dry skin hai to usi ke hisaab se use
kare.Soap ya sabun ke istemaal se bache.
Facewash achchhi tarah se skin se gandgi aur oil ko saaf kar deta hai,jab
ke soap skin ko puri tarah se clean bhi nahin kar pata hai aur skin ko ruff aur
bejaan sa bana deta hai.Raat ko sone se pehle bhi face ko facewash se
dholen,jisse makeup achchhi tarah se remove(saaf)ho jaye.
2. Cleanser
Chehre ko achchhe se dhone ke baad kisi achchhi cleanser cream ka istemaal
kare.Aesa karne se skin poori tarah se clean ho jayegi.Kyun ki Face wash skin
ko poori tarah se clean nahin kar pata hai.Yeh chehre se oil aur gandgi ko
nikaal kar skin ko achchhe se saaf kar deta hai.
Cleanser ka istemaal aap apni skin ke anusaar hi kare.Oily skin ke liye jel
ya foam cleanser bahot hi achchha mana jata hai.Agar skin dry(rukhi) ya normal
hai to creamy cleanser ka hi istemaal kare.
3. Toner
Skin ko clean karne ke liye toner achchha mana jata hai.Yeh chehre ke
rom-Chhidron(pores) ko band kar deta hai, jisse makeup skin ke andar na ja sake
aur skin ko koi nuksaan na pahuncha sake.Yeh makeup ko idhar-udhar phailne se
bhi rokta hai.
Chehre ko cleanser se saaf karne ke baad ab toner ko cotton(ruhi) ki
sahayta se chehre or gardan pad lagaye.Jo kami cleanser karne ke baad reh jati
hai,usko toner poora kar deta hai.Yani ke toner se skin poori tarah se clean ho
jati hai.
4. Primer
Expert koi bhi makeup products istemaal karne se pehle primer lagane ki
Advice(सलाह)
dete hain.Chehre ko achchhi tarah se clean kar
lene ke baad primer ka istemaal karna chahiye.Primer lagane ke baad isko thodi
der ke liye sookhne den.Jisse primer skin me poori tarah se mil jaye.
Primer lagane se skin soft rehti hai aur
yeh skin ke rom-chhidron ko band kar ke skin ko cosmetics se hone wale nuksaan
jaise ke elergy vgairah se bhi bachane me help karta hai.Primer ke bina makeup
adhura sa lagta hai.Isko bhi thoder der ke liye sookhne de,phir foundation ka
use kare.
5. Foundation
Primer ke baad foundation ka istemaal kiya jata hai.Foundation chehre ke
rang ko ek jaisa banane me help karta hai.Yeh chehre ke daag-Dhabbe aur
jhurriyon(wrinkles)ko chhupane me upyogi sabit hoya hai.Iske saath-saath yeh
chehre ke colour ko saaf aur ek jaisa dikhane me help karta hai.
Foundation ko apne skin colour se match khata hua hi kharide.Foundation ka
rang na ziyada halka ho aur na hi ziyada gehra hona chahiye.Foundation ko
chehre par ungliyon ke bajaye brush se hi lagana chahiye.Brush se lagane par
yeh skin me achchhi tarah se mil jata hai.
6. Highlighter
Highlighter ka upyog complete makeup ke roop me kiya jata
hai.Highlighter ka prayog skin ke texture(बनावट) ko dhiyan me rakh kar kiya jana chahiye.Yani ke oily skin walon ko powder
highlighter ka upyog karna chahiye aur dry skin walon ko cream highlighter ka
istemaal karna chahiye.
Iska istemaal face par glow aur chamak lane ke liye kiya jata hai.Isko
brush ya spanj(स्पंज)ki sahayta se hi lagana chahiye.Agar aap liquid foundation use karti
hain,to liquid highlighter ka hi istemaal kare.Agar aap powder foundation use
kar rahi ho to phir powder highlighter hi use kare.Aesa karne se aapka makeup
kharaab nahin hoga.
7. Eye Shadow
Chehre me aankho(eyes)ka role bahot important hota hai,agar aap eyes ka
makeup achchhe se karengi to pura face sundar lagega.Eye shadow ka use aankho
ko sundar banane ke liye kiya jata hai.Isko sahi tarike se lagane par aankhe
sundar aur aakarshak(Attractive)dikhayi dene lagti
hain.
Iska upyog thoda savdhani se karna chahiye.Yani ke ek
samay(time) me 3 colour hi use kare-halka,medium aur deep(Gehra),jo achchhi
tarah se mix ho sake.Makeup se pehle palkon par thoda foundation laga le,phir
isko lagaye.Aesa karne se aankho ka makeup ziyada time tak bana rahega.
8. Kajal
Kajal se aankhe sundar to dikhayi deti hi hain,saath hi
yeh aankho ki safety bhi karta hai.Bina kajal ke makeup uncomplete sa hi
lagega.Lekin agar kajal sahi tarike se use na kiya jaye to kabhi-kabhi yeh
poore makeup ko hi bejaan sa bana deta hai.Isliye kajal ko sahi tarike se hi
istemaal me lana chahiye.
Aesa kajal ko chune jo phailne wala na ho.Iske liye aap
water-proof kajal ko hi use kare.Aksar oily skin par kajal badi jaldi phailne
sa lagta hai aur kajal ke phail jane par poora makeup kharab sa dikhne lagta
hai.Isliye oily skin walon ko aankho ke niche thoda powder brush se lagana
chahiye.
9. Eye Liner
Eye liner ka istemaal aankho ko sundar dikhane ke liye
kiya jata hai.Eyeliner bhi makeup ka ek khaas hissa mana jata hai.Agar isko
sahi tarike se na lagaya jaye,to phir yeh aankho ki sundarta ko kharaab kar
sakti hai.Isliye isko lagane ka sahi tarika janlen.
Achchhi quality ke eyeliner ka hi prayog kare,jisse aapki
aankho ko kisi tarah ka nuksaan na pahunche.Agar eyeliner lagate samay phail
jaye,to usko usi waqt sookhne se pehle hi saaf karle.Eyeliner do tarah ka aata
hai-liquid eyeliner aur pencil eyeliner.Liquid eyeliner pencil eyeliner se
achchha mana jata hai,kyun ki yeh ziyada time tak laga rehta hai aur sundar bhi
lagta hai.
10. Mascara
Mascara ke bina aankho ka makeup adhura-adhura sa lagta
hai.Yeh lashes(पलकें)ko sundar aur attractive(aakarshak)banata hai.Agar iska
istemaal sahi tarike se kiya jaye to yeh aankho ko ek naya look dene ka kaam
karta hai.Isliye isko lagane ka sahi tarika janle.
Mascara lagate waqt niche dekhne ke bajaye upar ki taraf
dekhen.Aesa karne se mascara lagane me koi dikkat bhi nahin hogi aur woh aasani
se lag bhi jayega.Mascara kabhi bhi jaldbazi me na lagayen,aesa karne se aankho
ka poora makeup kharaab ho sakta hai.Mascar aankho ke kinaron par bhi
lagayen,isse aankhe dekhne me badi aur sundar dikhengi.
11. Lip Balm
Vaise to lip-balm ka istemaal aksar phante honthon ke
liye kiya jata hai.Lekin isko makeup ke waqt bhi use me laya ja sakta
hai.Lipstick lagane se pehle hontho par halka sa lip-balm laga len.Isse aapke
honth soft bhi ho jayenge aur hontho ki bareek si rekhayen bhi chhip jayengi.
Lip-balm ko hontho ke alava bhi istemaal me laya ja sakta
hai.Yadi aapko eye-brow banane ka time nahin mil pa raha hai,to ungli ki
sahayta se thoda sa lip-balm apni eye-brow par laga len.Aesa karne se aapki eye-brow
ka shape sahi dikhne lagega.
12. Lipstick
Lipstick makeup kit ka ek bahot hi important
hissa(part)mana jata hai.Agar face ke shape aur colour ke hisaab se lipstick ka
sahi tarike se istemaal kiya jaye,to sundarta me chaar-chand lag sakte
hain.Kehne ka matlab yeh hai ke aap apne face colour ke mutabik hi lipstick ka
chunaav karen.
Agar aapke honth(lips)phate-phate se hain to lipstick
lagane se pehle hontho par glycerin ya koi achchha sa lip-balm laga len.Isse
aapke honth soft aur chikne ho jayenge.Lipstick lagane se pehle halke colour ki
lip-pencil se outline bana len.Aesa karne se lipstick lagana aasan ho jayegi
aur woh bahar ki taraf bhi nahin phailegi(bikhregi).
13. Concealer
Concealer ka upyog ziyadatar chehre ke daag-dhabbo ko
chhupane ke liye kiya jata hai.Concealer chehre ki redness aur aankho ke niche ke
kaale ghere(dark circles)ko chhupane me bhi madadgar sabit hota hai.Agar
concealer ko sahi tarike se istemaal na kiya jaye,to chehra berang sa dikhayi
dene lagta hai.
Concealer humesha skin se match karta hua hi
kharide.Concealer lagane ke baad kuchh time tak isko sookhne den,jisse yeh skin
me achchhi tarah mil jaye.Agar skin oily hai to liquid concealer ka hi upyog
kare.Yaad rahe chehre ke kisi bhi hisse par concealer ka bahot ziyada upyog na
kare.
14. Face Powder
Face powder ka istemaal chehre ki rangat ko ek-samaan
dikhane ke liye kiya jata hai.Face powder makeup ko long time tak banaye rakhne
me help karta hai.Garmiyon ke dino me to isko lagana aur bhi ziyada zaroori ho
jata hai.Yeh chehre par paseena aane se bhi rokne ka kaam karta hai.
Agar skin oily hai to cake powder ka use na kare,kyun ki
cake powder me tail hota hai,jisse skin aur bhi ziyada oily ho sakti hai.Isliye
oily skin par humesh sookha hua powder hi use kare.Chehre ke sath-sath face
powder ko gardan par bhi thoda-thoda lagaye.Jisse face aur gardan ka rang ek
jaisa dikhayi de.
15. Compact Powder
Compact powder aur foundation ka istemaal skin ko gora
dikhane ke liye kiye jata hai.Yeh chehre ke daag-dhabbo aur pimples ko chhupa
ke kaam me bhi aata hai.Ziyadatar ladies compact powder aur foundation ko
ek-jaisa hi samajhti hai,lekin yeh dono ek-dusre se kafi alag hote hain.
Foundation chehre ke daag-dhabbo aur pimples ko chhupane
kar skin ko bedaag dikhane ka kaam karta hai.Agar chehre par pimples,daag aur
dhabbe nahin hain aur skin clean & clear hai to sirf compact powder bhi
lagaya ja sakta hai.
16. Blush
Face par glow lane ke liye blusher ka bahot adhik upyog
kiya jata hai.Blusher bhi highlighter ki tarah hi kaam karta hai.Yeh chehre ko bright look deta hai.Isko
skin se match karta hua hi kharide.Isko agar sahi tarike se lagaya jaye ,to yeh
face ko chamakdar bana sakta hai.
Blusher ko aap apne gaalon(Cheek)ke bich ke hisse par ya thoda side me use
kar sakti hain.Blusher ke sahi shades ko dhiyan se choose kare.Raat aur din ke
liye aap alag-alag shades hi use kare.Yaad rahe agar aap gehre rang ka blusher
laga rahe hain to uske saath halke rang ka highlighter aur yadi halke rang ka
blusher laga rahe hain to phir uske saath gehre rang ka highlighter hi
lagaye.ek hi rang ke blusher aur highlighter lagane par aapka chehra achchha
dikhayi nahin dega.
17. Makeup Remover
Sundar dikhne ke liye jitna makeup karna zaroori mana jata hai,utna hi baad
me makeup ko remove(hatana)karna bhi zaroori hota hai.Yadi makeup ko achchhe se
remove ya saaf na kiya jaye to yeh skin ko kafi nuksaan bhi pahuncha sakta
hai.Isliye isko sahi tarike se saaf karna chahiye.
Makeup remove karne ke liye achchhe makeup removal product ko hi use
kare,ya phir gharelu nuskhe apnaye.Agar skin oily hai to dahi ka istemaal kare
isse makeup to hatega hi,chehra bhi pehle se mulayam ho jayega.Dry skin ke liye
doodh use kare.Kachcha doodh laga kar halke haath se face ko saaf karne se bhi
makeup aasani se hat jata hai.Nahin to aap scrub ka bhi istemaal kar sakti
hain.
Note:
Upar di gayi is article me makeup se sambandhit sari jaankari safety ko
dhiyaan me rakh kar batayi gayi hai.Phir bhi aap kisi bhi makeup products ko
use karne se pehle uske bare me achchhe se malumaat kar len.Hum is blog ke
zariye aapko isi tarah ki helpful jankariyan dete rahenge.Aap aise hi apna
support humare saath banaye rakkhen.
Therefore, regardless of the sort, games shall be evaluated on a case-by-case basis for speculative activities, and the Game Rating and Administration Committee may refuse to supply an age ranking or cancel a previous ranking for the sport. Paradise City will boast the nation’s largest on line casino featuring a hundred and sixty playing tables. In a latest interview with overseas media, Choi stated the on line casino at Paradise City would set up a large junket operator community convey in|to usher in|to herald} an infinite number of 코인카지노 excessive rollers from all components of China.
ReplyDelete