Sensitive Skin-Sensitive Skin Care in Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Sunday, November 10, 2019


Sensitive Skin: 

Aaj hum aapko Sensitive skin in hindi meaning,Sensitive skin kaisi hoti hai,sensitive skin care tips,Sensitive skin ke liye gharelu upchaar,Sensitive skin care home remedies in hindi,Sensitive skin ke liye beauty tips,Sensitive skin kaisi hoti hai,Sensitive skin ko kaise thik kare,Sensitive skin ke liye moisturizer ke baare me batayenge.

Sensitive Skin-Sensitive Skin Care in Hindi
Sensitive Skin-Sensitive Skin Care in Hindi


Mysmartways blog me aapka swagat hai.Aaj ka article sensitive skin ke baare me hai.Is article me sensitive skin aur usse judi har baat ko bataya ja raha hai.Agar aapki skin bhi sensitive hai to yeh article aapke bahot hi kaam ka ho sakta hai.Kripya isko poora end tak zaroor padhen.

Sensitive Skin in Hindi Meaning-Sensitive Skin Kaisi hoti hai


Sensitive skin par mausam ka badi jaldi asar padta hai,aesi skin jis par mausam ke badalne ka bhi khaas asar dekhne ko milta hai.Aesi skin par dhool,mitti aur pollution ka bahot bura asar padta hai.Jisse skin par rashes(chakatte)padne lagte hain,aur skin laal hone lagti hai,phir usme khujli si hone lagti hai.

Aesi skin jisme jalan hona,khujli hona,achanak se skin ka laal ho jana,pimples nikal aana,chehra dhone ke baad skin me khichav mehsoos hona,kam umar me hi jhurriyon ka aa jana,paaltu jaanvaro ke touch me rehne par khujli si mehsoos hona.Is tarah ki skin ko sensitive skin ke naam se jana jata hai.


Sensitive skin care tips


1. Product Use Karne se pehle:

Koi bhi product use karne se pehle uski testing zaroor kar len.Kisi bhi tarah ke product ko direct use na karen,pehle usko haath ya kaan ke pichhe ki skin par thoda sa laga kar thodi der check kare ke kisi bhi tarah ki jalan ya khujli to nahin ho rahi hai.

Agar is tarah ki koi bhi problem nahin ho rahi hai,lekin usko use karne ke baad agar skin laal ho rahi hai ya pimples vagairah aane lage,to dobara us product ko use na karen.

2. Diet(Khaan-Paan):

Apni diet yani ke khaan-paan ka bhi dhiyan rakkhen.Fruits aur vegetables ka istemaal ziyada karen.Alcohol aur kisi bhi tarah ke tobacoo ke sevan se khud ko door rakkhen.Ziyada oily, mirch masale wali cheezon se bachen.Pani ki kami na hone den.pani khoob piyen.

Kabhi-Kabhi galat khaan-paan bhi skin problems ki vajah ban jata hai,isliye khane-peene ka pura dhiyan rakkhen.Agar ho sake to non-veg ka kam se kam use karen.

3. Natural Product:

Aise products ko use karne se bache,jo chemicals se mil kar bane huye hain.Isliye koi bhi product lene se pehle uski ingrediants(सामग्री) par nazar daal len,ke woh kin cheezon se mil kar bana hai.Humesha aise products ko chune jo natural elements se mil kar bane ho.

Natural elements jaise ke jo products aloe-vera,chandan,haldi,multani-mitti vgairah se mil kar bane hote hain.Isi tarah ke natural products ka hi istemaal karen.

4. Avoid Sun-rays(धूप से बचें):

Ziyada time tak dhoop me rehna sensitive skin ke liye bilkul bhi achchha nahin hoga.Isse skin me aur bhi tarah-tarah ki problems ho sakti hai.Skin me allergy hone ka darr bana rehta hai. ziyada dhoop me rehne se skin me laal chakatte pad jane jaisi problem ho sakti hai.

Isliye sensitive skin wale dhoop se bachne ki koshish karen aur bahar jane se pehle apni skin par sunscreen laga kar hi niklen.Sunglasses ka bhi istemal karen.

5. Moisturizer:

Apni skin ko samay samay par moisturize karte rahiye.Market me alag alag tarah ke moiturizer available hain.Apni skin ke hisaab se jo aapki skin ko suit(soot) karta ho vaisa hi moisturizer chune.Sensitive skin ke liye banaye gaye moisturizer ka hi istemaal karen.

Moisturizer skin ko dry hone se bachata hai aur skin ki nami ko banaye rakhne me madad karta hai.Kyun ke skin ke ziyada dry hone par bhi skin sensitive hone lagti hai.



Sensitive Skin-Sensitive Skin Care in Hindi
Sensitive Skin-Sensitive Skin Care in Hindi


Sensitive Skin ke Liye Gharelu Upchaar- sensitive skin care home remedies in Hindi


1. Aloe Vera

Sensitive skin ke liye aloe vera ka gel bahot hi upyogi bataya gaya hai.Aloe vera ke gel me vitamin E paya jata hai,jo sensitive skin ko redness aur itching se bachata hai.Aloe vera ke chhilke ko kaat kar usme se gel nikaal len.Ab us gel ko apne chehre ki skin par lagayen aur thodi der baad dho den.

Aap iske gel ko raat bhar bhi laga rehne de sakte hain aur subah uth kar saaf pani se dho den.Yeh skin ki problems ko door karne me bahot hi upyogi mana jata hai.

2. Haldi

Haldi ke baare me to aap achchhe se hi jaante honge ke yeh skin ke liye kitni achchhi mani jati hai.Har tarah ki skin ke liye haldi ek bahot hi achchha gharelu upchaar hai.Isliye yeh sensitive skin ke liye bhi bahot hi upyogi hai.

Haldi ko face pack ke roop me use kare,iske liye ek chammach haldi me 2 chammach kachcha doodh aur thoda shahad(honey)le kar achchhi tarah mila kar pest banal en.Ab isko poore chehre par lagayen aur sookhne ke baad saaf pani se dho len.

3. Coconut oil

Coconut oil yani ke nariyal ka tail ek achchhe moisturizer ka kaam bhi karta hai aur yeh bhi sensitive skin ke liye ek achchha gharelu upay ke roop me ho sakta hai.Nariyal ka tail skin ko nami pahuncha kar usko dry hone se rokta hai.

Nariyal tail se aap apni skin ko golai me halke haathon se malish karen.Yeh skin ko rukha(dry) hone se bachayega.Yeh aapki sensitive skin ke liye achchha kaam karega.

4. Honey

Honey yani ke shahad me anti-bacterial paye jane ki vajah se yeh skin ko achchhi tarah se moisturize bhi karta hai.Yeh sensitive skin par lagane se skin ko dry hone se rokta hai,usko nami pahuncha kar soft banata hai.

Do chammach honey me 2 chammach daalcheeni powder ko achchhi tarah se mila kar pest bana len.Ab isko apne face par lagayen. 15-20 minute ke baad paani se dho len.Isse aapki skin chamak uthegi. Sensitive skin par isko week me 2 baar use karen.Aapko aaram milega.

5. Banana(kela)

Kya aap jaante hain ke kele ko bhi skin ke liye istemaal me laya ja sakta hai.Kela bhi skin ke liye ek achchhe moisturizer ka kaam karta hai.Yeh sensitive skin ki itching aur dryness ki problem ko door kar sakta hai.

Ek kele ko achchhi tarah se haath se goond len,Ab isme 1 chammach honey aur 2 chammach dahi milaye.sabko achchhi tarah se mix kar len aur chehre par lagayen. 15-20 minute baad paani se dho kar saaf kar len.Yeh sensitive skin ke liye achchha gharelu nuskha hai.

6. Aanvla(आंवला)

Aanvla me vitamin C paya jata hai jo ke skin ke liye upyogi mana jata hai.Sensitive skin ke liye yeh bahot upyogi sabit ho sakta hai.Agar aapki skin sensitive hai to aap rozana din me 1 cup aanvle ka juice ka istemaal karne ki aadat daal len.Isse aapko kafi rahat si milegi.

Ek chammach aanvla powder me ek chammach honey ko achchhi tarah se mila len aura b isko apne face par lagayen. 15-20 minute baad normal paani se dho len.

sensitive skin ke liye beauty tips


Sensitive skin ko garmiyon ke mausam me bahot pareshani hoti hai.Bahar ke cosmetic products ka bilkul istemaal na kare.Ghar par hi kuchh natural face pack bana kar use karen.

  • Ande(egg) ki zardi ko nikaal kar uske safed hisse me Oatmeal(दलिया)ko achchhi tarah mila len. Ab usko chehre par lagayen aur sookhne ke baad normal water se chehre ko dho len.Aapki skin me nikhaar aa jayega.

  • Ek katore(bowl)me aloe vera ke gel aur honey ko barabar quantity me achchhe se mila len. Ab isko chehre par 15-20 minute tak laga rehne den aur uske baad saaf paani se chehre ko dho len. Skin me farq dikhayi dene lagega.

  • Aloe vera aur kheere ko achchhi tarah se pees kar pest banal en.Ab isko chehre par 15-20 minute laga rehne den aur uske baad chehre ko dho len.Skin chamak uthegi.

  • Lavender oil ko dahi aur honey me achchi tarah mila kar pest ki tarah banal en.Ab isko chehre par laga kar 15 minute tak laga rehne den aur uske baad chehre ko paani se dho len.

Sensitive Skin Ko Kaise Thik Kare


Sensitive skin walon ke liye yeh janna bahot zaroori hai ke unhe kin-kin cheezon ke istemaal se pareshani ho sakti hai.Agar un baton ka dhiyaan rakkha jaye,to is tarah ki problem ko kafi had tak control me kiya ja sakta hai.Jo is prakaar hain-

1. Ziyada time tak dhoop ke sampark me na rahen,sardiyon ke mausam me bhi suraj ki taraf peeth kar ke baithe.

2. Khud ko dhool,mitti aur pollution se bachane ki koshish karen,isse skin me gandgi paida hone lagti hai aur skin allergy jaisi pareshani hone ka darr bana rehta hai.

3. Raat ko ziyada time tak jaagne se bachen aur kam se kam 7-8 ghante ki neend zaroor puri hone den,kyun ki neend puri na ho pana bhi sensitive skin ke liye badi vajah ban sakta hai.

4. Stress(तनाव)bhi sensitive skin ki badi vajah ban sakta hai.Isliye khud ko stress aur tension jaisi cheezon se door rakhne ki koshish karen.Kyun ki ziyada stress aur tension me rehne se skin me dark spot,wrinkles vgairah jaisi problem ho sakti hai.

5. Kapde dhone ke liye bahot ziyada khushbu wale detergent powder aur soap ka istemal na karen,kyun ki is vajah se bhi aapki skin me jalan jaisi samasya ho sakti hai.

6. Ziyada dark makeup na karen aur raat ko sone se pehle makeup ko remove karna na bhulen.Iske liye aap koi makeup remover ya zaitoon ke tail se bhi apne makeup ko remove kar sakti hain.

7. Din me 2 baar apne chehre ko jo aapki skin ko suit karta ho,aise cleanser se achchhi tarah se saaf karen.Dhone ke baad chehre ko towel se ragde nahi,balki dheere-dheere ponchhe.

8. Perfume lete samay usko apne haath ki skin par chhidar kar check zaroor kar len.Agar halki si bhi itching mehsoos ho to usko na khariden aur na hi use karen.Ziyada tez khushbu wale perfume ka istemal na karen.

9. Dhoop me nikalne se pehle koi sunscreen cream ya lotion laga len.Uske baad hi ghar se bahar niklen.

10. sardi ke mausam me humesha soft woollen ke hi sweater hi pehne.Synthetic woollen se skin me allergy hone ka darr bana rehta hai.

11. Koi bhi beauty products kharidne se pehle yeh zaroor dekh len ke usme ingrediants ki sankhya(संख्या) kam ho,ya jin par ‘suitable for sensitive skin’ or ’dermatologically tested’ likha ho.Humesha 15+spf wale products hi use karen.

12. Chehre ko wash karne ke liye soap ka istemal na kare,kyun ki soap skin ko dry kar deta hai jisse skin me khichav aane lagta hai.Isliye jo aapki skin ko suit karta ho aise hi facewash ka istemal karen.

13. sardi ke mausam me bahot ziyada garm pani se na nahaye,halke gungune pani ka hi istemal karen.

Sensitive Skin Ke Liye Moisturizer


Sesitive skin ke liye moisturizer lete samay in baton ka dhiyan rakhna zaroori hai-

  • Non-irritating
  • Non-comedogenic
  • Paraben-free
  • Fragrance-free
  • Dermatologist-recommended
  • Allergy-tested
  • Alcohol-free
  • Hypoallergenic
  • Non-greasy
  • Non-drying

Note:
Is article me sensitive skin se judi har baat safety ko dhiyan me rakh kar batayi gayi hain.Phir bhi aap inme se kisi bhi upchaar ko use karne se pehle uska test zaroor kar len.Agar aapko inme se kisi bhi upchaar se kisi bhi tarah ki koi problem hoti hai,to usko use na karen.

Aapko humara yeh article kaisa laga iska jawab aap comment kar ke zaroor batayen.

No comments:

Post a Comment