Makeup Tips:
Aaj Hum aapko winter makeup tips in hindi,wedding makeup tips
in hindi,party makeup tips in hindi,best makeup for special days in hindi ke
baare me batayenge.
![]() |
Wedding_Makeup_Tips_In_hindi |
Mysmartways blog me aapka swagat hai.Humara aaj ka topic shadi,party aur
winter par kis tarah ka makeup karna chahiye par hai.Kripya is article ko end
tak zaroor padhen.
Wedding Makeup Tips In Hindi-Winter Makeup Tips In Hindi
Sardiyon ke mausam ke saath shadiyon ka season bhi shuru ho gya
hai.Shadiyon ke season ka matlab naach-gaana aur shadi samaroh me sabse alag
aur khoobsurat dikhna.Lekin sardiyon ke mausam me skin rukhi ho jati hai,jis
par galat tarike se kiya gya makeup aapki khoobsurti ko bigaad sakta hai.Isliye
zaroori hai ke aap is mausam me colour,texture,style aur shade ke saath kisi
tarah ka samjhota na karen.
- Humesha apne chehre ke
liye sahi foundation chune,jo aapko apne makeup ke liye ek achchha base
pradaan karega.Makeup ke baad apne chehre par kuchh setting powder ka
istemaal karen.Yeh aapke makeup ko bhi sahi rakkhega aur skin ko dry hone
se bhi rokega.
- Apni shadi ke makeup ke
liye dark eye-shadow ka istemaal na karen.Isse aapka chehra kharaab sa lag
sakta hai.
- Apne chehre par skin
tone se milta julta foundation hi lagayen,nahin to shadi ki tasveero me
aapka chehra geela sa lagega.
- Humesha waterproof makeup
ka hi istemaal karen.Kisi bhi ladki ke liye shadi ek behad khaas din hota
hai aur koi bhi ladki nahin chahegi ke is din uska chehra kharaab sa
dikhe.Isliye waterproof makeup ko hi use karen.
- Wedding season ke har
function par glamorous look pane ke liye aap bahot saare trends ko follow
karti hongi,lekin fashion aur trends ka istemaal soch samajh kar hi
karen.Keval wahi trends apnaye,jo aap par achchha lage.
- Makeup colours ka bhi soch samajh kar istemaal karen.Unhi colours ka apne chehre par istemaal karen,jo aapki skin se milta julta ho.
![]() |
Wedding_Makeup_Tips_In_hindi |
Best Makeup For Special Days In Hindi
Aksar normal dino ke alava har koi khaas maukon par ziyada achchha dikhna
pasand karta hai.Functions, parties vagairah me kuchh alag aur ziyada sundar
dikhne ki chah har kisi ke mann me rehti hai.Iske liye kuchh baaton ka dhiyaan
rakhna bhi zaroori hai.
Day Party Look:
(1) Sardiyon ke mausam me din ki party ke liye ready hona thoda mushkil sa
ho sakta hai,kyun ki sardi ka mausam aapki skin ko nuksaan pahuncha sakta
hai.Aise me skin ko achchhe se moisturize karen,jisse ke skin ki chamak bani
rahe aur jab zaroori ho tab keval geele foundation ya liquid foundation ka
istemaal karen.
(2) Aankhon ko makeup ke saath overload karna achchha nahin hai.Aankhon ko
bada dikhane ke liye maskara ke 2 koton ke saath rangeen(colourful)eye-liner ka
upyog karen.Koi green,orange aur halke rang jaisa maskara chun sakti hain.
(3) Sardiyon ke mausam me apne chehre ko natural chamak dene ke liye peech
aur gulabi rango ki cream wali blush istemaal karen.
(4) Honthon par halke colour ki lipstick lagayen.Iske liye lip-liner aur
moisture ke liye lip balm ka bhi istemaal karen.
![]() |
Wedding_Makeup_Tips-In_Hindi |
Shadi Ke Din:
(1) Glowing makeup aur shimar humesha chalan me raha hai.Shadiyon ke season
me aapke chehre ka khoobsurat aur chamakdar dikhna bahot zaroori hai.
(2) Aankhon ke kone ya eye-brow line par halke colour ka istemaal
karen.Aankhon ko attractive look dene ke liye kohal ka istemaal karen aur apni
aankhon ko ek sundar roop den.
(3) Glitter(chamak)eye-liner ladkiyon me kafi famous hai aur aankhon ko
sundar dikhane ke liye jana jata hai.Saath hi laal aur bhoorey rango ka upyog
kar ke apne gaalon ko bhara hua dikha sakti hain.
(4) Raat ke samay honthon par gehre rango ka istemaal karen.Laal(red)rang
bhi aapko ek attractive look dega.
Cocktail Party:
(1) Is party ke liye gold,silver,copper aur bronze rango ka istemaal
karen.Yeh aapko behtar sa look dega.Parties ke liye apni aankhon par kohal
pencil aur kuchh eye-shadow ka istemaal kar ke aankhon ko highlight karen.
(2) Apni Aankhon ko adhik bold karne ke liye bhoorey rang ka istemaal
karen.Isse aapke chehre par ek alag hi look aayega,jo dikhne me achchha lagega.
(3) Apne chehre ko khoobsurat dikhane ke liye plum,laal aur bhoorey rango
se gaalon ko highlight karen aur thoda sa glitter bhi lagayen.
Conclusion: Is article me yeh bataya gya hai ke shadi ke din,party ya kisi
special functions par kis tarah ka makeup karna chahiye aur winter ke mausam me
makeup karte waqt kin baaton ka dhiyaan rakhna chahiye.Is article ko poora
padhne ke liye aapka dhanyavad.
Aapko humara yeh article kaisa laga comment kar ke zaroor batayen aur apna
experience humse share karen.
Thank You!
No comments:
Post a Comment