How to use bindi:
Aaj hum aapko how to use bindi,how to use bindiya for perfect look,how to apply bindi in hindi ke baare me batayenge.How To Us_ Bindiya For_Perfect Look In_Hindi |
Mysmartways blog me aapka swagat hai.Humara aaj ka topic bindiya par hai.Is article me bindi ko sahi tarah se istemaal karne ke baare me bataya gya hai.
What is Bindiya
Bindi ke bina kiya gya makeup adhura sa lagta hai.Bindiya lagane se chehre ki sundarta aur badh si jati hai.Bindiya keval sundarta badhane ke liye hi nahin,balki suhaag aur pavitrta ka bhi prateek mani jati hai.sindoor ki tarah bindi bhi naari ke liye vivahita hone ko darshati hai.How To Use Bindiya For Perfect Look-How To Apply Bindi In Hindi
Bindiya ka istemaal chehre ko sundar dikhane ke liye kiya jata hai.Pehle ziyadatar shadi-shuda mahilayen hi bindiya ka istemaal karti thi.Lekin aaj kal kunwari ladkiyon me bhi bindi lagane ka chalan badh sa gya hai.
Makeup karte waqt agar bindi ka chunaav thoda dhiyaan me rakh kar kiya jaye,to yeh aapki sundarta ko aur badha sakti hai.
How_To Use_Bindiya For_Perfect Look In_Hindi |
(1) Kapdon(clothes)ke anusaar:
Bindiya ka istemaal kapdon ke hisaab se kiya jaye to yeh dekhne me aur bhi sundar dikhayi deti hai.Aapne jis colour ke kapde pehne huye hain agar bindi ka colour bhi aapki dress se milta julta hai.To yeh aapke chehre ki sundarta aur bhi badha sakti hai.Jaise ke laal colour ki dress par laal rang ki bindi ko sabse achchha mana jata hai.
(2) Chehre ki banavat ke anusaar:
Bindiya ka size aur design kafi had tak aapke chehre ki banavat par bhi nirbhar karta hai.Aapke chehre par kis tarah ki bindi sundar lagegi iska faisla aap khud mirror(आईना) ke saamne baith kar kar sakti hain.
Chhote maathe par rekhakaar bindi lagane se maatha thoda bada sa dikhayi deta hai.Chhote maathe par bindi ko dono eyebrow ke beech me lagana sahi rehta hai.Isi tarah bade maathe par badi gol bindi lagane se maatha bhara(भरा)hua sa dikhayi deta hai aur bindi ko maathe ke beech me lagana ziyada sahi rehta hai.
(3) Chehre ke rang ke anusaar:
Bindi ka chunaav chehre ke rang ko dhiyaan me rakh kar karen.Gore rang par laal bindi ziyada sundar dikhayi deti hai.Vaise to gore rang par har colour ki bindi achchhi lagti hai.Thode halke gore(गेहुंए रंग)rang par halke laal rang ki bindi ziyada khilti hai.Jab ke saanvle(सांवले रंग)rang par chandan,peele aur gulabi rang ki bindi achchhi lagti hai.
(4) Aankhon ke size ke anusaar:
Bindi ka selection aankhon ke size par bhi nirbhar karta hai.Agar aankhen(eyes)badi hain to badi bindi ka istemaal karen aur agar aankhen thodi chhoti hain to chhoti bindi lagana ziyada sahi rahega.
How_To Use_Bindiya For_Perfect Look In_Hindi |
(5) Height ke anusaar:
Bindi ka chunaav aapki height par bhi nirbhar karta hai.Jaise ke lambi height wali mahilaon(महिलाओं)ko gol bindi lagani chahiye aur chhoti height wali mahilaon ko lambi bindi lagani chahiye.Is tarah aap apni height ke hisaab se bindi ka chunaav kar sakti hain.
(6) Mausam ke anusaar:
Bindi ka chunaav thoda bahot mausam par bhi nirbhar karta hai.Sardiyon ke mausam me raat ke samay gehre rang ki bindi lagana aur garmi ke mausam me halke rang ki bindi lagana sahi mana jata hai.
(7) Age ke anusaar:
Bindi ka istemaal kuchh umar ke hisaab se bhi karna chahiye.Jaise ke ziyada age wali mahilaon ko ziyada gehre rang ki bindi aur kam age ki ya kunwari ladkiyon ko halke aur light colour ki bindi ka istemaal karna chahiye.
Conclusion: Is article me bindi ke sahi istemaal karne ke baare me bataya gya hai.Yeh article poora padhne ke liye dhanyavad.
Also Read: How to apply lipstick in hindi
Aapko humara yeh article kaisa laga iska jawab aap hume comment kar ke zaroor batayen aur isko share bhi karen.
Thank you!
No comments:
Post a Comment