Beauty tips for face in Hindi - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Friday, October 25, 2019

Beauty tips for face: 

Is post ke zariye main aapko bataunga ke kaise hum ghar se hi kuchh cheezon ka dhiyan rakh kar khud ko kaise sundar bana sakte hain.Beauty tips for face me aapko pata lagega ke kaise khud ko sundar dikayen.


Beauty tips for face in hindi
Beauty_tips_for_face_in_hindi


Hello friends, kaise hain aap sab log, mysmartways me aapka bahot-bahot suagat hai.Aaj hum aapko is blog ke zariye beauty ke smart tarike batane ja rahe hain.Aksar dekha gaya hai bahot sare log khaas kar ke ladies beauty parlour me apna paisa aur time dono hi bahot kharch karte hain.Sundar dikhne ka haq sabhi ko hai,magar aaj ke itne busy time me parlour ke liye time nikaal pana aur aisi mehangai me itna paisa kharch kar pana sab ke liye mumkin nahin hai.Agar parlour jaisi suvidha,upchaar kam samay me aur bahot kam kharch me ghar baithe hi mil jaye to isse achchhi baat kya ho sakti hai.Aaj hum aapko aise beauty tips batayenge,jinhe aap ghar par hi bina kisi ki support ke kar sakti hain.Isliye pls is post ko last tak zaroor padhen.

Beauty tips for face in Hindi


To aaiye shuru karte hain Beauty tips for face ke bare me.Khud ko kaise sundar banayen iske liye niche diye gye chehre ke liye beauty tips kya-kya hain,aaiye jaante hain-

1. Cleansing milk: Yeh chehre ki safayi ke liye use kiya jata hai.yeh chehre ki skin par jami huyi dhool or gandgi ko saaf karne me bahot hi upyogi hota hai.Isko rui(cotton) ki madad se chehre par laga kar dheere-dheere mala jata hai,baad me cotton ya tissue paper se saaf kar diya jata hai.Aisa karne se chehre ki sari gandgi door ho jati hai.Oily skin ke liye to yeh bahot upyogi sabit hota hai.

2. Cleansing cream: Yeh bhi cleansing milk ki tarah kaam karti hai.Dry skin wale log iska bahot upyog karte hain.Yeh ungliyon ke sahare se chehre par aur jhurriyon wali jagah par lagayi jati hai.jaisa ke iske naam se hi pata chalta hai cleansing,yeh chehre par make-up karne se pehle lagayi jati hai.

3. Skin tonic: Jaisa ki iske naam se hi clear hota hai skin tonic,ise skin food ke naam se bhi jana jata hai.Yeh ek tarah se skin ka bhojan mana jata hai.Yeh ek liquid(pani jaisa)substance hota hai.Isko lagane se pehle cleansing milk se chehre ko achchhi tarah se saaf kar lena chahiye,Baad me ise rui(cotton) ki madad se chehre par lagaya jata hai.Iska upyog chehre ke pores(bareek se chhed) ko band karne ke liye kiya jata hai,jisse kisi bhi tarah ka make-up skin ke andar na ja sake,kyun ki make-up skin ke andar pahunch kar skin ko nuksaan pahunchata hai.

4. Bleaching cream: Iska upyog face par glow lane ke liye kiya jata hai.Beauty tips for face glow ke roop me yeh ek bahot hi achchha option hai.Yeh halki gori ya black skin me bahot hi upyog me layi jati hai.Lekin iska upyog thoda savdhani se karna chahiye,jinki skin nazuk ho unhe mahine me keval ek hi baar ise use karna chahiye aur jinki skin thodi hard ho woh mahine me 2 baar bhi use kar sakte hain.

5. Nourishing cream: Is cream ka upyog rukhi-sukhi skin ke liye kiya jata hai.Ise lagane se skin soft ho jati hai.Isko hathon-pairon par bhi lagaya jata hai,jisse haath-pair komal bane rahen.Yeh kuchh kam oily hone ki vajah se summer ke mausam me bhi lagayi jati hai.

6. Cold cream: Yeh skin ko thandak pahunchane ka kaam karti hai aur skin ko komal banati hai.Isko din or raat dono samay istemal me laya jata hai.Iska upyog winter ke mausam me ziyada kiya jata hai.Agar aapki skin rukhi hai to ise raat me chehre aur haath-pairon par laga kar so jayen,subah uthne ke baad skin rukhi nahin dikhegi.

7. Vanashing cream: Is cream ke istemal se aap apni skin ki gandgi ko saaf karke use shining bana sakte hain.Beauty tips for face me isko bhi aap ek achchha yogdan de sakte hain.Jinki skin me pores(halke chhed) thode bade ho,unke liye to vanashing cream bahot ziyada achchhi mani jati hai.

8. Astringent Lotion: Yeh ek liquid water hai.Ise garmi ke mausam me istemal karna chahiye.Iska kaam saaf ho chuke chehre ke bareek se chhedon ko band karna hota hai.Agar saaf ho chuki skin ke rom-chhidron(bareek se chhed) ko band na kiya gaya to make-up ke hanikarak chemicals in rom-chhidron ke andar ja kar skin ko nuksaan pahuncha sakte hain.Isko lagane par shuru me halki si jalan ho sakti hai.Yeh blackheads(keelon) ko door karta hai.Yeh oily skin ke liye best mana jata hai.Isko cotton se lagaya jata hai.

9. Foundation cream: Chehre par chamak lane ke liye foundation lagaya jata hai.Foundation beauty tips for face whitening ka ek achchha option bhi mana jata hai.Yeh liquid,cream and stick teen tarah ka paya jata hai.Make-up shuru karne se pehle skin ko ek-samaan banane ke liye isko lagaya jata hai.Yeh gehre or halke dono shadow me milta hai.Ise aap apni skin se match karta hua hi kharide.Isko ungliyon ki sahayta se chehre or gardan(neck) par lagana chahiye.Iska prayog make-up ko natural roop pradan(provide) karta hai.

10. Eye cream: Eye cream ko aankhon ki aas-pass ki skin par lagaya jata hai.Isko aankhon ke aas-pass ki jagah wali skin par malne se skin jhurriyon(wrinkles) se bachi rehti hai.iska istemal(use) thodi si maatra(quantity) me karna chahiye.

11. Face powder: Foundation lagane ke baad chehre par face powder ka upyog kiya jata hai.Foundation sookhne par powder lagane se woh chehre par chipakta nahin hai.Powder sookha aur jama hua dono tarah ka milta hai.Yeh safed halke gulabi aur skin ke anuroop(according) anek(many) rangon me milta hai.Face powder or foundation ko apni skin se match karta hua hi kharide.

12. Compact: Jame huye(frozen) powder ko compact kehte hain.Bahar jate samay ise purs ya hand bag me rakh kar lejaya ja sakta hai.Thodi-thodi der baad isko thap-thapa kar aap make-up ko adhik samay tak fresh rakh sakti hain.

13. Rooz: Iska upyog chehre par glow lane ke liye kiya jata hai.Yeh gaalon(cheek) ko chamak de kar chehre ko fresh aur sundar banata hai.Yeh chhoti dibbi me stick,creamy aur tikki teeno roopon me milta hai.Creamy ko ungli ke upari bhag(upper part) se aur tikki ko puff ki madad se lagaya jata hai.Din me iska halka shade aur raat me thoda deep(gehra) shade lagayen.

14. Eye liner:  Isko palkon ke neeche or upar bareek si rekha(line) kheench kar lagaya jata hai.Isko aankhon ki sundarta badane ke liye use kiya jata hai.Isko brush ki sahayta se lagaya jata hai.

15. Lipstick: Hothon(lips) ka gulabipan achchhe healthy blood ki accuracy(shudhta) ka symbol(prateek) mana jata hai.Hothon ko sundar or healthy dikhane ke liye lipstick ka use kiya jata hai.Yeh bahot colours me payi jati hai.

16. Kajal & surma: Kajal puri tarah se indian cosmetics hai.Kajal or surme ka istemal aankhon ko sundar dikhane ke liye kiya jata hai.Iska upyog india me ziyada dekhne ko milta hai.Iske daily uses se aankhon ki safety rehty hai.


Note:
Upar di gayi beauty tips for face ki sari jaankari safety ko dhiyan me rakh kar batayi gayi hai.Yeh sare products aapko market me ya online bhi mil jayenge.fir bhi aap kisi bhi company ka koi bhi product use karne se pehle uske bare me achchhe se zaroor jaanlen.

Agar aapko humara yeh article helpful laga ho to aap hume comments kar ke zaroor batayen.

3 comments:

  1. such a nice piece of article. Thank you for sharing your knowledge. This is a very valuable thing you shared. good stuff!!Best Hair Color Salon In Gottigere

    ReplyDelete
  2. I generally want quality content and I found that in your post. The information you have shared about Hair Salon Malaysia.is beneficial and significant for us. Keep sharing these kinds of articles here. Thank you.

    ReplyDelete
  3. You wrote this post very carefully. The amount of information is stunning and also a gainful article for us. Keep sharing this kind of articles, Thank you. Beauty Parlour Onli

    ReplyDelete