How To Remove Blackness Of Lips In Some Days - My Smart Ways

My Smart Ways

Here is everything you want to learn and know about self-care beauty.If you want to know about beauty then this is the best platform for you.

Saturday, March 28, 2020

how to remove blackness of lips in hindi
how_to_remove_blackness_of_lips


How to remove blackness of lips, pink lips karne ke upay in hindi, red lips tips in hindi, gulabi lips tips in hindi, how to get rid of dark lips overnight ke gharelu upay.

Hello friends mysmartways blog me aapka swagat hai. Aaj ka humara topic how to remove blackness of lips par hai. Kripya is article ko poora end tak zaroor padhen.

Sundar dikhna har koi chahta hai aur sundar dikhne me lips yani ke honthon ka roll bhi bahot important hota hai. Kyun ki chehra kitna bhi khoobsurat kyun na ho agar honth kate-phate kaale se dikhte ho to sundar chehra bhi kharaab sa dikhne lagta hai.

Causes Of Dark Lips In Hindi


Black or dark lips kisi bhi vajah se ho sakte hain. Yeh natural roop se bhi ho sakte hain aur tobacco, cigrate ke sevan se ya ziyada tea, coffee ke istemaal se ya phir ziyada dhoop me rehne se bhi ho sakte hain.
Yahan kuchh tips bataye ja rahe hain. Jinko apna kar kate-phate lips ko soft, mulayam aur black lips ko gulaabi kiya ja sakta hai.

Also Read: How to apply lipstick

how to remove blackness of lips in hindi
how_to_remove_blackness_of_lips


How To Remove Blackness Of Lips In Hindi


Yahan kuchh gharelu nuskhe bataye gaye hain. Jinko sahi tarike se apna kar honthon ke kaalepan se chhutkara paya ja sakta hai.

(1) Neebu


Neebu chehre ke daag-dhabbo ko door karne ke saath hi yeh honthon ke kalepan ko bhi door karne ke liye ek achchha gharelu nuskha mana jata hai. Neebu ke ras ko rozana sote time honthon par raat bhar lagane se kuchh dino me hi honthon ka kalapan door hone lagta hai.

(2) Coconut Oil


Din me 2 baar nariyal ke tel ko honthon par lagane se lips healthy aur soft to bane rahenge. Iske saath hi honthon ka kalapan bhi dheere-dheere door hone lagega. Isko raat me sote time laga kar letne se jaldi hi asar dekhne ko milega.

(3) Glycerin


Rozana raat me sone se pehle glycerin ki kuchh boonde honthon par laga kar 1 minute tak halke-halke massage karen aur raat bhar aise hi rehne den. Isse lips dry hone se bhi bache rahenge aur honthon ka kalapan bhi door hone lagega.

(4) Chukandar(चुकंदर)


Sabse pehle chukandar ke chhote-chhote piece(टुकड़ा) kaat kar rakh len. Ab din me 2 baar chukandar ke piece ko hontho par 1 minute tak halke-halke ragden Aur kuch waqt ke liye aisi hi laga rehne den. Raat me sote time bhi aisa hi karen aur raat bhar laga rehne den.

(5) Gulaab-jal


Rozana raat ko sone se pehle gulaab-jal se honthon par 1 minute tak massage karen aur raat bhar ke liye aise hi chhod den. Lagataar iske istemaal se honthon ka kalapan door hone lagega.

(6) Aloe-vera


Rozana din me ek baar aloe-vera ke gel ko honthon par laga kar chhod den aur 15-20 minute baad taaze pani se dho len. Aloe-vera ki madad se aap kuch hi dino me dark lips ki problem se chhutkara pa sakte hain.

Also Read: Blackheads kaise door kare

How To Get Rid Of Dark Lips Overnight In Hindi


> Rozana raat ko sote waqt apne honthon par vaseline laga kar soyen aur din me 2 baar koi bhi achchha spf 15 wala lip-balm apne lips par istemaal karen.

> Gulaab ki pankhudiyon(पंखुड़ियों) ko pees kar usme thoda glycerine mila kar raat me sote samay apne honthon par lagayen. Aisa rozana karne se dark lips ki problem kuchh hi dino me door hone lagegi.

> Haldi powder aur malayi(मलाई) ko achchhi tarah mix kar ke rozana honthon par lagane se honthon ka kalapan jaldi door hone lagta hai. Isko aap honthon par laga kar chhod den aur sookh jane ke baad taaze pani se dho len.

> Kesar ko pees kar usme gulaab-jal aur glycerine mila kar rozana raat ko lips par laga kar sone se honthon ka kalapan door ho kar rangat nikharne lagti hai.

> Tamatar ke pulp(गूदा) me milk cream mila kar honthon par 2 minute tak massage karen aur 15-20 minute baad saaf pani se dho len. Aap isko rozana bhi istemaal kar sakte hain.

> Ek chammach Shahad(शहद) me ek chammach gulaab-jal ko achchhi tarah mix kar len. Ab isko din me 2 baar apne lips par lagayen aur aadhe ghante baad pani se dho len.

> Ek chammach neebu ke ras me 1 chammach shahad aur 1 chammach glycerine ko achchhi tarah mila len. Ab is pest ko rozana raat me honthon par laga kar let jayen aur subah uth kar taaze pani se dho len.

> Olive oil(जैतून का तेल) Aur vaseline ko mila kar rozana din me 2 baar lagane par honthon ka kalapna door hone lagta hai aur phate huye lips bhi theek hone lagte hain.

> Shahad me thoda suhaga mila kar rozana honthon par lagane se kuchh hi dino me lips ki darkness door hone lagti hai.

Also Read: Wrinkle free skin

how to remove blackness of lips
how_to_remove_blackness_of_lips


Pink Lips Karne Ke Upay In Hindi-Gulabi Lips Tips In Hindi


1. Ek chammach almond oil(बादाम तेल) me aadha chammach neebu ka ras achchhe se mila len. Ab isko apne honthon par lagayen aur 1 ghante baad taaze pani se dho len. Aisa rozana karne se honthon ki blackness jaldi door hone lagti hai.

2. Ek chammach milk cream me ek chammach sugar ko achchhi tarah mix kar len. Ab isko apne honthon par laga kar 2 minute tak massage karen aur  har 2-3 din ke baad aisa hi karte rehne se jaldi hi honthon ka rang gulabi sa hone lagega.

3. Ek chammach nariyal ke tel me ek chammach sugar ko mila len aur apne honthon par 2 minute tak massage karen. Phir 20 minute baad taaze pani se dho kar koi achchha lip-balm laga len. Aisa har 2-3 din baad karne se honthon ka colour pink hone lagta hai.

4. Hara dhaniya(हरा धनिया) ko thode pani ke saath pees len. Ab isko rozana din me 1 baar apne honthon par lagayen aur 20 minute baad normal pani se dho len aur baad me lip-balm laga len. Kuchh dino me hi aapke lips gulabi hone lagenge.

5. Aap thode chaval yani ke rice ko achchhi tarah pees len. Ab is peese huye chaval me thoda vaseline mila kar apne honthon par 3-4 minute tak scrub ki tarah halke-halke ragde(रगड़े). Aisa karne se honthon ki kaali parat saaf hone lagegi Aur lips pink hone lagenge.

6. Strawberry aur petroleum jelly ko barabar quantity me achchhe se mila len. Ab isko rozana apne honthon par lip-balm ki tarah istemaal karen. Kuchh dino baad honth(lips) gulabi hote huye dikhayi dene lagenge.

7. Tobacco, cigrate ka sevan na hi karen aur ziyada tea, coffee ka istemaal na karen. Din me 8-10 glass pani zaroor piyen.

Also Read: Remove dark spots

Note:
Is article me kuchh upyogi gharelu nuskhe bataye gaye hain. Jinki madad se dark or black lips ko sundar aur gulabi look diya ja sakta hai. Kisi bhi nuskhe ko apnane se pehle uski testing zaroor kar len. Agar kisi bhi nuskhe se kisi bhi tarah ki koi pareshani mehsoos ho to usko usi waqt remove kar den aur dobara istemaal na hi karen.

Dhanyavaad!

Aapko humara yeh article kitna helpful laga iska jawab aap hume comment kar ke zaroor batayen aur isko ziyada se ziyada share bhi karen.

No comments:

Post a Comment